Kaisay
Ajeeb Log Bastay Hain Tere Shehar Main “Mohsin”,
Shoq
e Dosti Bhi Rakhtay Hain Aur Yad Bhi Nahi Krtay |
This is just poem and shayari,
Qaid-e-gham-e-hayaat
se humko chhudaa liyaa,
Achchha
kiya ke aap ne apna banaa liyaa !
Hone
diya na hum ne andheraa shab-e-firaaq,
Bujhne
laga chiraag to dil ko jalaa liyaa !
Duniyaa
ke paas hai koi is tanz ka jawaab ,
Diwaana
apne haal pe khud muskuraa liyaa !
Chup
hoon tumhaara dard-e-muhabbat liye huye,
Sab
poochte hai tum ne zamaane se kyaa liyaa !
Kyaa
baat thi ke khalvat-e-zahid ko dekh kar,
Rind-e-gunaahgaar
ne sar ko jhukaa diyaa !
Na
qaabil-e-bayaan hai muhabbat ki lazzaten,
Kuchh
dil hi jaanta hai jo dil ne mazaa liyaa !
Roz-e-azal
padi thi hazaaron hi neymatein,
Hum
ne kisi ka dard-e-mohabbat utaa liyaa !
Badhne
lagi ji talki-e-gham-e-haa-e-zindagi,
Thoda
sa baada-e-gham-e-janaan milaa liyaa !
Waqif
nahin giraft-e-tasawwur se wo ‘Shamim’,
Jo
ye samajh rahe hain ke daaman chhudaa liya !
Credit : Shamim Karhani
Dhananjay Parmar |
No comments:
Post a Comment