Tuesday, August 20, 2013

Sath Mere Zindagi Ne Ki Wafa Achchi Lagi

Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar
Yeh Kurbatein To Bohat Imtihan Leti Hain,
Kisi Se Waasta Rakhna To Door Ka Rakhna..

Hi friend’s
This is just poem and shayari,



Sath Mere Zindagi Ne Ki Wafa Achchi Lagi,
Chahat Mein Teri Jo Bhi Mili Saza Achchi Lagi,

Saza-E-Mohabbat Mein Ye Aansoon Kyun Bahaye,
Dil Lagane Ki Jo Maine Ki Khata Achchi Lagi,

Raaj-E-Dil Janne Ke Baad Bhi Wo Anjan Bane Rahe,
Husn Wale Ki Wo Jaan Lewa Ada Achchi Lagi,

Kya Mere Naseeb Mein Tanhai Hai Samajh Na Aaya,
Mere Qismat Ki Mujhse Ye Mazak Achchi Lagi,

Sham-E-Gam “Raaj“ Sab Kuch Sath Chod Deta Hai,
Raat Ke Andhere Mein Apne Saye Ki Jafa Achchi Lagi.

Credit : Rajnish Raaj


Family members and U.S. service members assigned to the 55th Signal Company (Combat Camera), welcome home returning soldiers at the 55th company building on Fort Meade, Md., Aug. 1, 2013. The soldiers were returning from a year-long deployment in Afghanistan. (U.S Army photo by Pvt. Paul R. Watts Jr./Released)
Credit : USA GOV, USA Army


Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar

Wednesday, August 14, 2013

Kaisay Ajeeb Log Bastay Hain

Dhananjay Parmar
Kaisay Ajeeb Log Bastay Hain Tere Shehar Main “Mohsin”,
Shoq e Dosti Bhi Rakhtay Hain Aur Yad Bhi Nahi Krtay

Hi friend’s
This is just poem and shayari,



Qaid-e-gham-e-hayaat se humko chhudaa liyaa,
Achchha kiya ke aap ne apna banaa liyaa !

Hone diya na hum ne andheraa shab-e-firaaq,
Bujhne laga chiraag to dil ko jalaa liyaa !

Duniyaa ke paas hai koi is tanz ka jawaab ,
Diwaana apne haal pe khud muskuraa liyaa !

Chup hoon tumhaara dard-e-muhabbat liye huye,
Sab poochte hai tum ne zamaane se kyaa liyaa !

Kyaa baat thi ke khalvat-e-zahid ko dekh kar,
Rind-e-gunaahgaar ne sar ko jhukaa diyaa !

Na qaabil-e-bayaan hai muhabbat ki lazzaten,
Kuchh dil hi jaanta hai jo dil ne mazaa liyaa !
Roz-e-azal padi thi hazaaron hi neymatein,
Hum ne kisi ka dard-e-mohabbat utaa liyaa !

Badhne lagi ji talki-e-gham-e-haa-e-zindagi,
Thoda sa baada-e-gham-e-janaan milaa liyaa !

Waqif nahin giraft-e-tasawwur se wo ‘Shamim’,
Jo ye samajh rahe hain ke daaman chhudaa liya !

Credit : Shamim Karhani



Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar  

Friday, August 9, 2013

Chand Jaagte Jaagte So Bhi Gaya

Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar
Tumhara naam lene se mujhe sab jaan jaate hai
Main woh khoyi howi cheez hoon, jis ka pata tum ho


Hi friend’s
This is just poem and shayari,



Zindgi Mili
"Zara Si Thi"
Kuch Is Me Kami
"Zara Si Thi"

Woh Roz Hota Gaya Paas Mere.!
Lekin Phir Bhi Dori
"Zara Si Thi"

Chand Jaagte Jaagte So Bhi Gaya!
Raat Abhi Beeti
"Zara Si Thi"

Mohabat Baant Di Us Ne Zamane Mein Lekin.!
Jo Mere Hisse Mein Aai
Wo MuhabBAt
"ZARA Si Thi"


Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar