Sunday, November 17, 2013

Yeh Muhabbat Ka Bandhan Bhi Kitna Ajeeb Hota Hai

Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar
Yeh Muhabbat Ka Bandhan Bhi Kitna Ajeeb Hota Hai
Mil Jaen To Baatein Lambi, Bichar Jaen To Yaadein Lambi.



Hi friend’s
This is just poem and shayari,



ક્યાં કહું છું કે મદિરા વધારી આપો,
જિંદગીભર જે રહે એવી ખુમારી આપો.

ફૂલની જેમ અમે સાચવી રાખ્યું છે હૃદય,
દર્દ આપો તો જરા વિચારી આપો.

ચાંદની જેમના પાલવનું શરણ શોધે છે,
કહે છે મને ચાંદ ઉતારી આપો.

ચાંદ મહેમાન બની આવ્યો છે આજે પ્રભુ!
આજ તો રાતની સીમાઓ વધારી આપો.

ખ્વાબમાંયે કદીઆદિલને દઇને દર્શન,
એની ગઝલના બધા શેર મઠારી આપો.

Credit : ‘
આદિલમન્સૂરી


Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar

Wednesday, November 13, 2013

Mohabbat Lafz Hai Lekin Yeh Aksar Ho Bhi Jati Hai

Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar
Yeh Lafzon Ki Shararat hai zara Sambhal Kar kuch bhi likhna Tum.. 
Mohabbat Lafz Hai Lekin..yeh Aksar Ho Bhi Jati hai..
Hi friend’s
This is just poem and shayari,




Aaj Bi Wo Ehsaas Zinda Hai
Is Dil Me ..
Jab Palke Uthake
Pehli bar Dekha Tha Tumne ..

Aaj Bi Kbi-Kbi Yu Hi
Muskan Aati Hai Hothon Pe ..
Jab Mujhe Dekh Ke Pehli
bar Muskuraya Tha Tumne ..

Aaj Bi Badh Jati Hai Ye
Dhadkane..
Jab Pehli bar
Chua Tha Tumne..

Kya Hua Agr Aaj Hum Sath
Nhi Hain Phr Bhi.. 
Tumhara
Har Ehsaas Zinda Hai Is Dil Me..


Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar

Friday, October 25, 2013

Wohi Izteraab E Firaq Hai Wohi Ishtiyaaq E Wisaal Hai

Dhananjay Parmar
 Dhananjay Parmar
Kyu Dare, ki Zindagi Me Kya Hoga,
Har Waqt Kyu Soche Ki Bas
Bura Hoga,
Badhte Rahe Bas Manzilo Ki Aur
Hum,
Kuchh Na Bhi Mila To Kya.,
Tazurba to Hoga... :)



Hi friend’s
This is just poem and shayari,



Wohi izteraab-e firaq hai, wohi ishtiyaaq-e-wisaal hai
Teri justuju meiN jo haal thaa, tujhey paa ke bhi wohi haal hai

Na maal-e zeest ki fikr hai, na tabaahiyoN ka khayaal hai
Mujhey sirf is ka malaal hai, ke tumheiN bhi mera malaal hai

Teri aarzu hee ka faiz hai, teri yaad hee ka kamaal hai
Kabhi mujh ko tera khayaal tha, magar aaj apna khayaal hai

NahiN koi raahnuma to kya, hai khilaaf saari faza to kya
Mujhey fikr sood-o-ziyaaN ho kyuN, teri yaad shaamil-e-haal hai

Hai junoon-e-shouq ajab junoon, na khalish khalish na sukoon sukoon
Kabhi khaar wajh-e-nishaat hai, kabhi phool wajh-e malaal hai

Ho payam-e-azmat-e-jawedaaN, gham-e ishq ho ke gham-e jahaaN
Jo zameer ko na jaga sakey, woh malaal koi malaal hai?

Mera haal aaj zaboon hai kyuN, mera dard aaj fazooN hai kyuN
Mere mehrabaaN mere chaaragar, teri aabru ka sawaal hai

Tere gham ke naaz utha sakey, tere gham meiN hasti mita sakey
Bajuz aik ‘Qabil’-e sakht jaaN, yeh kahaaN kisi ki majaal hai

Credit : Qaabil Ajmeri


Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar

Tuesday, August 20, 2013

Sath Mere Zindagi Ne Ki Wafa Achchi Lagi

Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar
Yeh Kurbatein To Bohat Imtihan Leti Hain,
Kisi Se Waasta Rakhna To Door Ka Rakhna..

Hi friend’s
This is just poem and shayari,



Sath Mere Zindagi Ne Ki Wafa Achchi Lagi,
Chahat Mein Teri Jo Bhi Mili Saza Achchi Lagi,

Saza-E-Mohabbat Mein Ye Aansoon Kyun Bahaye,
Dil Lagane Ki Jo Maine Ki Khata Achchi Lagi,

Raaj-E-Dil Janne Ke Baad Bhi Wo Anjan Bane Rahe,
Husn Wale Ki Wo Jaan Lewa Ada Achchi Lagi,

Kya Mere Naseeb Mein Tanhai Hai Samajh Na Aaya,
Mere Qismat Ki Mujhse Ye Mazak Achchi Lagi,

Sham-E-Gam “Raaj“ Sab Kuch Sath Chod Deta Hai,
Raat Ke Andhere Mein Apne Saye Ki Jafa Achchi Lagi.

Credit : Rajnish Raaj


Family members and U.S. service members assigned to the 55th Signal Company (Combat Camera), welcome home returning soldiers at the 55th company building on Fort Meade, Md., Aug. 1, 2013. The soldiers were returning from a year-long deployment in Afghanistan. (U.S Army photo by Pvt. Paul R. Watts Jr./Released)
Credit : USA GOV, USA Army


Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar

Wednesday, August 14, 2013

Kaisay Ajeeb Log Bastay Hain

Dhananjay Parmar
Kaisay Ajeeb Log Bastay Hain Tere Shehar Main “Mohsin”,
Shoq e Dosti Bhi Rakhtay Hain Aur Yad Bhi Nahi Krtay

Hi friend’s
This is just poem and shayari,



Qaid-e-gham-e-hayaat se humko chhudaa liyaa,
Achchha kiya ke aap ne apna banaa liyaa !

Hone diya na hum ne andheraa shab-e-firaaq,
Bujhne laga chiraag to dil ko jalaa liyaa !

Duniyaa ke paas hai koi is tanz ka jawaab ,
Diwaana apne haal pe khud muskuraa liyaa !

Chup hoon tumhaara dard-e-muhabbat liye huye,
Sab poochte hai tum ne zamaane se kyaa liyaa !

Kyaa baat thi ke khalvat-e-zahid ko dekh kar,
Rind-e-gunaahgaar ne sar ko jhukaa diyaa !

Na qaabil-e-bayaan hai muhabbat ki lazzaten,
Kuchh dil hi jaanta hai jo dil ne mazaa liyaa !
Roz-e-azal padi thi hazaaron hi neymatein,
Hum ne kisi ka dard-e-mohabbat utaa liyaa !

Badhne lagi ji talki-e-gham-e-haa-e-zindagi,
Thoda sa baada-e-gham-e-janaan milaa liyaa !

Waqif nahin giraft-e-tasawwur se wo ‘Shamim’,
Jo ye samajh rahe hain ke daaman chhudaa liya !

Credit : Shamim Karhani



Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar  

Friday, August 9, 2013

Chand Jaagte Jaagte So Bhi Gaya

Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar
Tumhara naam lene se mujhe sab jaan jaate hai
Main woh khoyi howi cheez hoon, jis ka pata tum ho


Hi friend’s
This is just poem and shayari,



Zindgi Mili
"Zara Si Thi"
Kuch Is Me Kami
"Zara Si Thi"

Woh Roz Hota Gaya Paas Mere.!
Lekin Phir Bhi Dori
"Zara Si Thi"

Chand Jaagte Jaagte So Bhi Gaya!
Raat Abhi Beeti
"Zara Si Thi"

Mohabat Baant Di Us Ne Zamane Mein Lekin.!
Jo Mere Hisse Mein Aai
Wo MuhabBAt
"ZARA Si Thi"


Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar

Monday, July 29, 2013

Zindagi Dobara Nahi Milti Waqt Badal Ne Ke Liye

Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar
Waqt sabko milta he zindagi badalne ke liye
Par Zindagi dobara nahi milti waqt badal ne Ke liye

Hi friend’s
This is just poem and shayari,


ईश्वर का दिया कभी अल्प नहीं होता;
जो टूट जाये वो संकल्प नहीं होता;
हार को लक्ष्य से दूर ही रखना;
क्योंकि जीत का कोई विकल्प नहीं होता।

जिंदगी में दो चीज़ें हमेशा टूटने के लिए ही होती हैं:
"सांस और साथ"
सांस टूटने से तो इंसान 1 ही बार मरता है;
पर किसी का साथ टूटने से इंसान पल-पल मरता है।

जीवन का सबसे बड़ा अपराध - किसी की आँख में आंसू आपकी वजह से होना।
और
जीवन की सबसे बड़ी उपलब्धि - किसी की आँख में आंसू आपके लिए होना।

जिंदगी जीना आसान नहीं होता;
बिना संघर्ष कोई महान नहीं होता;
जब तक न पड़े हथोड़े की चोट;
पत्थर भी भगवान नहीं होता।

जरुरत के मुताबिक जिंदगी जिओ - ख्वाहिशों के मुताबिक नहीं।
क्योंकि जरुरत तो फकीरों की भी पूरी हो जाती है;
और ख्वाहिशें बादशाहों की भी अधूरी रह जाती है। 

मनुष्य सुबह से शाम तक काम करके उतना नहीं थकता;
जितना क्रोध और चिंता से एक क्षण में थक जाता है।

दुनिया में कोई भी चीज़ अपने आपके लिए नहीं बनी है।
जैसे:
दरिया - खुद अपना पानी नहीं पीता।
पेड़ - खुद अपना फल नहीं खाते।
सूरज - अपने लिए हररात नहीं देता।
फूल - अपनी खुशबु अपने लिए नहीं बिखेरते।
मालूम है क्यों?
क्योंकि दूसरों के लिए ही जीना ही असली जिंदगी है।

मांगो तो अपने रब से मांगो;
जो दे तो रहमत और न दे तो किस्मत;
लेकिन दुनिया से हरगिज़ मत माँगना;
क्योंकि दे तो एहसान और न दे तो शर्मिंदगी।

कभी भी 'कामयाबी' को दिमाग और 'नकामी' को दिल में जगह नहीं देनी चाहिए।
क्योंकि, कामयाबी दिमाग में घमंड और नकामी दिल में मायूसी पैदा करती है।

कौन देता है उम्र भर का सहारा। लोग तो जनाज़े में भी कंधे बदलते रहते हैं।

कोई व्यक्ति कितना ही महान क्यों न हो, आंखे मूंदकर उसके पीछे न चलिए।
यदि ईश्वर की ऐसी ही मंशा होती तो वह हर प्राणी को आंख, नाक, कान, मुंह, मस्तिष्क आदि क्यों देता?

Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar

Tuesday, January 1, 2013

Raah Main Kayi Morr Hain

Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar
Jo mukhaalif aaj hai mumkin hai kal hamdard ho,
Apne dushman se bhi umeed-e-wafaa rakhta hoon mein...


Hi friend’s                
This is just poem and shayari,


Chammak rahi hai paron mein urran ki khushbu,
Bhulaa rahi hai bohat asmaan ki khshbu,

Bhattak rahi hai purani dilayiyaan orrhey,
Haweliyon mein mere khaandan ki khushbu,

Sunaa ke koi kahaani humain sulaati thi,
Duaayon jesi barrey paandaan ki khushbu,

Woh atardaan sa lehjaa mere bazurgon ka,
Rachi bassi huyi urdu zubaan ki khushbu,

Amaarton ki bulaandi pe koi mausam kya,
Kahan se agayi kachey makaan ki khushbu,

Gulo’n pe likhti hui La Ilaha Ill Allah,
Paharriyon se utarti azaan ki khushbu..



Maj. Jennifer Helton, a navigator for the 165th Airlift Squadron, hugs her son, Kaiden, next to the flight line of the Kentucky Air National Guard Base in Louisville, Ky., Nov. 12, 2012. Helton was one of 58 Kentucky Air Guardsmen returning from a four-month deployment to the Persian Gulf region. (U.S. Air Force photo by Airman Basic Joshua L. Horton) (Nov – 15 – 2012)

Yunhi be sabab na phira karo, koi shaam ghar mein rha karo,
Woh ghazzal ki sachi kitaab hai usey chupke chupke parha karo,

Koi hath bhi na milaye ga jo milo ge tapaak se,
Yeh naye mizaaj ka sheher hai zara fasiley se mila karo,

Abhi raah main kayi morr hain koi aye ga koi jaye ga,
Tumhe jis ne dil se bhulaa diya usey bhoolne ki dua karo,

Mujhe ishtehaar si lagti hain yeh mohabbaton ki kahaniyan,
Jo kaha nahin woh suna karo, jo suna nahin woh kaha karo,

Kabhi husn parda nasheen bhi ho zara aashiqana libaas mein,
Jo mein ban sanwar ke kahin chaloon mere sath tum bhi chala karo,

Nahin be’hijaab woh chaand sa ke nazar ka koi assar na ho,
Usey itni garmi-e-shoq se bari dair tak na takka karo,

Yeh khizaan ki zard si shaal main jo udaas pairr ke pas hai,
Yeh tumharey ghar ki bahaar hai, usey aansuyon se haraa karo.



Dhananjay Parmar