Hi friend’s
This is just
poem and shayari,
Yaad ro ro ke
teri satati rahi
Aag judai ki dil ko jalati rahi
Aandhiyan jab
guzarti rahi baagh se
Shakh-e- gul apne sar ko jhukaati rahi
Apni mohabbat ki
nakaamiyan kya kahoon
Khwaish-e-ishq har kadam mujhe rulati rahi
Woh doosron se
has has ke milte rahe
Meri he badkismati ashq bahati rahi
Hum wafa jinse
karte rahe umar bhar
Hum pe unki jafa muskurati rahi
Shayad kusur
meri mohabbat ka he hai
Jo sab sehkar bhi unein chahti rahi
Ru-Baruu Wo Hai
Ibaadat Kar Raha Hun
Oske Chehray Ki Tilaawat Kar Raha Hun
Lo Kharido Ik
Nazar Ke Moul Mujhko
Apni Qeemat Mein Riyaayat Kar Raha Hun
Li Hai
Sabr-o-Zabt Ne Mujh Se Ijaazat
Apne Mehmaanon Ko Rukhsat Kar Raha Hun
Chhin Gaya
Mulk-e-Jawaani Bhi Tou Kia Gham ?
Ab Bhi Yaadon Per Hukoomat Kar Raha Hun
Koi Bhi Gham
Osko Loutaaya Nahi Hai
Yun Amaanat Mein Khayaanat Kar Raha Hun
Osne Tou Bas Ik
Zara Si Baat Chehri
Mein Wazaahat Per Wazaahat Kar Raha Hun
Ishq Karke Aap
Bhi Ban Jaayein Insaan
Sheikh Sahaab Ko Naseehat Kar Raha Hun
Aashiqui
Tufaan-e-Girya Chahti Hai
Aur Mein Aahon Per Qana’at Kar Raha Hun
Aasmaan Jo
Shaks Hai Sab Ki Nazar Mein
Osko Chhuu Lainay Ki Jurrat Kar Raha Hun
Mein Ne Dekha
Hai Qateel Os Ka Saraapa
Mein Kahaan Zikr-e-Qayamat Kar Raha Hun ???
Ay Kaash Tujhe
Aisa Ik Zakhm-e-Judaai Dun
Jab Tais Koi Chamkay Mein Tujhko Dikhai Dun
Jis Roz Kubhi
Tera Deedaar Na Ho Paaye
Mein Apni Hee Aankhon Ko Naabeena Dikhai Dun
Magroor Hai TU
Kitna Sirf Ik Sanam Ban Kar ?
TU Chaahay Tou Mein Tujhko Tan Man Ki Khudaai Dun
Tujh Sa Koi Dil
Wala Mehsoos Karay Mujhko
Mein Geet Nahi Aisa Jo Sab Ko Sunaai Dun
Ik Umer Ke Baad
Apnay Chit Chor Ko Pakra Hai
Mein Kaisay Qateel Osko Baanhon Se Rihaayi Dun ?
Mujh Ko Bhi,
Bewafa Samajhta Hai
Jaanay Wo Khud Ko Kia Samajhta Hai ?
Mein Tou Manzil
Samajhta Hun Osko
Wo Mujhe Raasta Samajhta Hai
Zakham Apna
Dikha Raha Hun Ose
Jo Namak Ko Dawaa Samajhta Hai
Had Tou Ye Hai
Ke Bhaint Charh Ke Bhi
Dil Ose Devtaa Samajhta Hai
Mera Mayaar Jag
Mein Hai Hee Kahan ?
Jag Mujhe, Paarsa Samajhta Hai
Yaani ! Itna
Sitam Tou Seh Lega ?
Jitna Sab Per Rawaa Samajhta Hai
Osko
Ehraam-e-Misar Dikhlao
Jo Bhi Khud Ko Khudaa Samajhta Hai
Aaj Ke Dour
Mein Jafaa Ko Janaab
Sirf Paagal, Jafaa Samajhta Hai
Aqal Mand
Aadmi, Mohabbat Ko
Aqal Se Maawra Samajhta Hai
Qais Ka Kia
Banay Ga, Laila Ko ?
Aakhri Aasra Samajhta Hai……..!
Qismat Se Bhi
Kuch Siwaa Dia Hai ?
Baarish Ne Hamain Mila Dia Hai
Dekhi Hai Meri
Udaasi Os Ne
Aur Dekh Ke Muskura Diya Hai
Ab Tou Mujhe
Sabar Aa Gaya Tha
Ye Kis Ne Mujhe Rula Dia Hai ?
Wo Chaahay Tou
Raasta Badal Le
Mein Ne Tou Dia Jala Dia Hai
Os Ronaq-e-Bazm
Ne Tou Meri
Tanhaayi Ko Sajaa Dia Hai
Wo Pal Ke
Sulagh Uthaa Hai Malboos
Aur Os Ne Diya Bujhaa Dia Hai
Nazar Ka Husn
Bhi Husn-e-Butaan Se Kam To Na Tha
Mera Yaqeen Bhi Tumhaare Gumaan Se Kam To Na Tha,
Mizaaj-e-Azmat-e-Adam
Ki Baat Hai, Warna
Zameen ka Zulm Tere Asmaan Se Kam To Na Tha,
Guzar Raha Tha
Jahaan Se Main Sang Dil Ban Kar
Woh Mor Sheesha Garon Ki Dukaan Se Kam To Na Tha,
Na Jaane Kiyoon
Teri Aankhen Khamosh Thien, Warna
Dil-e-Ghareeb Ka Naghmaa Faghaan Se Kam To Na Tha,
Rah-e-Januu Kay
Nasheb-o-Faraaz Mein “Mohsin”
Khird Ka Phool Bhi Sang-e-Giraan Se Kam To Na Tha.
MUHABBAT KO
MUHABBAT KA ZARA EHSAAS HONE DO
ABHI KUCH DAIR TEHRO HUSSUN KO BENAQQAB HONE DO
BEWAJHA DIL KO
YOUN ROKA NAHI KERTY
ITNE MUHTAT HO KIUYN ZARA MUSAM KHARAB HONE DO
ISHARON MN KAHI
BATAIN AKSAR NA MUKAMMAL HOTI HN
RUKKO, MERE AKO ZARA KITAB HONE DO
ZINDAGI KO DO
RAHY PE LA K CHODTY HO KIYUON
KUCH KAHO YA APNI BEWAFAYI KA HISSAB HONE DO
AJAB NAHI K LOG
TUJHE BEWAFA JANNE
PHIR KIYOUN NA AAJ PORA MAHTAB HONE DO
YEH RAAT
ANDHEERI SAHI PER THANDI TU HOTI HY
ROSHKI HAQEEQAT KIA ZARA CHANDA KO AFTAAB HONE DO