Tuesday, September 28, 2010

Justuja

Teri yaad me Jo hai jal raha , ussi deep ko tu hawa Na de
Mere haq me maut hi mang le, mujhe zindagi ki dua Na de


yun hi kaat di hai yeh zindagi, teri justuju me aye jaane jaan
Kabhi ho bhi ja tu ayaan sanam, mujhe berukhi ki saza na de


Tujhe kya Bataoo.N ke kiss tarah, liya hijraton ka ye faisla
Mujhe Rok mat tu watan mere, mera zabt aansu baha na de


Wohi rizq deta jahaan ko , wohi zaat sab se azeem hai
Meri muflisi pe na hans ke wo , tera taaj sar se giraa na de


Tera chahera chand se kam nahi, tujhe phir bhi koi khabar nahi
Yun nikal na ghar se tu bekhabar, tera husn bijli gira na de


Mile zakhm jo tere ishq me , unhe ab talak hun kure.dta
Yeh Hain Tere Gham ki nashaniyan, mujhe zakhm-e-dil ki dawa na de


Wohi log hai.N wohi shahr hai , wohi raaste hai.N wohi safar
Zara bach ke chalna qadeer jee , koi yaad Phir se rula na de






Uski mohabbat me vo hunar dekha hai
Patthar mom ho jaye ye asar dekha hai

Taakat ke gurur me jo akadte hai.n
Waqt ke aage jhuka unka sar dekha hai

Karte hain din me jo watan parasti ki baate.N
Unhe raat me jalaate basti ke ghar dekha hai

Jo kehte hai sharaab khaane band karne ko
Chhup chhup ke unhe jaate udhar dekha hai

Muljimo.N ka rahnuma banne walon ke seene me
Masoom bachcho.N ko peetne ka jigar dekha hai

Karte hain is jahan me tujhse jo sachcha 'ishk'
Un kismatwalo.N ka teri panaho.N me basar dekha hai





Adaab dosto. Jawani alam bhi kya alam hain, har jagah junoon se bhara hua...

Kamyaabi ki chah mein khokar, yuhi uski nasheme sawarna hain
Kabhi hum age nikal chuke hain, kabhi woh peeche rah gaye hain
Kabhi woh khushimein zoom rahe hain, kabhi hum gum mein khoye hain
Kabhi humne kuch paya hain, kabhi woh kuch kho chuke hain
Zindagi kis cheez ka naam hain, zamane ko dikhana hain ……

Hum kabhi parbatonke unchaise, neechewalonko pukarte hain
Hawamein udnewale asmanmein khokar, zameenwaloko lalkarte hain
Zameenwale pani mein dubkar, udnewalonka apna nishana banate hain
Hawaka rukh kabhi idhar hain to kabhi udhar hain,
sirf, woh bhi kabhi garam hain to kabhi sheetal hain…..
Zindagi kis cheez ka naam hain, zamane ko dikhana hain ……

Junoon kuch alag se hain, iske rang kal kuch the aaj kuch hain
Iska roop kabhi sona chandi tha, kabhi do bheega zameen thi
Kabhi manjilebhi raaj mahalsi thi, kabhi asmanko chute hawamahalsi bhi thi
Joonon ka nasha to wahi hain, kalbhi, aajbhi aur kalbhi
Zindagi kis cheez ka naam hain, zamane ko dikhana hain ……





Dosto. Aadmi, jaha par jyada khushiyonse gujarne lagta hain to dar bhi mahsoos hone lagta hain…..


Ek khwab sa dekha tha, madhoshime mahkta hua
Uski umar bhi kya thi, nindse nikarlkar jag janetak
Khwab to aksar ate hain jate hain, nind ke kisi pahelumein
Kahnewala to kah bhi gaya hain, kabhi kisi daur mein
Dost, nind aur maut mein koyee fasla bhi nahi hain
Sirf fark itna ke, nind rooh ke saath laut ati hain jagneke baad,
maut ke baad to aisa kuch bhi nahin,
bawajood har ek ko is daur se gujarna hain,
har koyee sota hain yaha, har koyee marta hain yaha
sone se jagnetak ke fasle naap liye, kabhi ek raat to kabhi kuch pal
jeene se marneke bhi fasle naap liye,
kabhi kuch sadiya to kabhi kuch yugotak…..

woh chamakta hua nazar aa raha tha, koyee jugnusa tara tha
subah ke lalee ko cheerke, parbatomein ubhar raha tha
puri kaynat ujaalemein roshan thi, bahki bahki aur mahki mahki see
najakat ka koyee pata hi na tha, masumiyatpe waisehee naaz bhi tha
chidiya chahak rahee thi, ped aur patte lahra rahe the
subah ho rahi thi, subah ho rahi thi…….





Itefaaq Se Nazar Nazar Se Mili
Aur Hum Pyaar Samajh Letey Hai

Kisi Ke Dil Main Chupe Ehesaason Ko
Hum Apne Jazbaat Samajh Letey Hai

Woh Nazar Chura Kar Chale Gaye Humse
Hum Phir Milege Ye Baat Samajh Letey Hai

Woh Hue Na Hamare To Koi Baat Nahi
Unke Saaye Ko Apna Pyaar Samajh Letey Hai

Kabhi Koi Milga Humsayaa Zindagi Mai
Isii Dhokhe Mai Ye Baat Samajh Letey Hai

Itefaaq Se Nazar Nazar Se Mili
Aur Hum Pyaar Samajh Late Hai





Saturday, September 25, 2010

Waqt Gar

Kuch Apni Sunaao to Baat Bane 
Thoda Kareeb aao to Baat Bane

Roj Mila karte ho yun to humse 
Kabhi Dil ki Btaao to Baat Bane 

Keh Do Dil Ka Dard Sab Apna 
Thodi Duriya Mitaao to Baat Bane 

Khub state ho khawabo me aakar 
Kabhi Sach Me Sataao to Baat Bane 

Na shikwa Rahe Tumse Kabhi 
Aise toot ke chaho to Baat Bane 

Thodi Paresha.n aur Udaas hu Mai 
Mera Dil Behlaao to Baat Bane 

Hamein Pasand Hai ek Bas tera Sath 
“ Dhananjay 
Tum Bhi sab Bhul jaao to Baat Bane





Kisi Ki Soch Par Koi Pahra Nahi Hota 
Saath Rehne Se Pyaar Gehra Nahi Hota 

Mil Jaate Do Parwane Yahaa'N 
Gar Ye Waqt YuN Thehra Nahi Hota 

Fanna Hoti Ye Zindagi Pal Mai 
Saath Yeh Gar Chehra Nahi Hota 

Muqambal Karte Har Aarzoo Apni 
Zamaane Ka Gar Pahra Nahi Hota 

Puri Karti Har Tamanna Love 
Dhananjay 
Kismat Me'N Gar Pyaas Ka Sehra Nahi Hota





aapka kya- khuune dil mera hua 
tod kar dil puchte haiN kya hua 

choRkar humko khushi jaane lagi 
lo chalo kuch bojh to halka hua 

kis tarah hum khud se muh ko pherte 
dost hu mai khud hi se bichdaa huaa 

har kadam ik zalzala hai zindagi 
kya naya isme bhala aisa hua 

unke gesu ke andheron ke tale 
chand jaise din me ho niklaa hua 

aap ki jabse padi parchaiyaaN 
aaina bhi humse hai rootha hua 

dil lagane ki sazaa dil ko mili 
hona tha jo hashr vo uska hua 

khud ko ham khudse juda kar naa sake 
har kadam par hamkadam saaya hua 

kabke mahfil chodkar hum uth gaye 
aap kahiye aapka phir kya huaa 

mujse zidd aise gale milta hai gum 
jaise vo koi mera apna hua 

bazm ka meri ye hi dastur hai 
Dhananjay 
aaye vo jo ishq me ruswaa huaa





phooloN ki khushbu se, bahaaroN ka aana hai... 
ujaadi mali ne bagiya, ye qis'sa to puraana hai....! 

tum koi baat karo aisi, jaisi ki na kisi ne ho... 
hume rotoN ko hasaana hai, ruthoN ko manaana hai...! 

kabhi shamma se puchhna tum, sabab jalne ka uske... 
haNs haNs ke jalna hai, aNdhere ko mitaana hai...! 

baNde ki qismat meiN lekin kuchh aur hi likha hai... 
khud_hi se_to ladna hai, khudi* ko samjhaana hai...! 

dekh yaad nahi mujhko, kya tera bahaana tha... 
chhodo bhi baateN vo, ab koi aur zamaana hai...! 

vo chala gaya hai 'masttt...', mujhe chhod akele ko...
Dhananjay 
yahaN dard tanhaaii hai aur bas viraana hai...!





Kia bichar jana uske liye, Koi maani nahi rakhta?


Jafaon ka hisab woh, Zubani nahi rakhta.. Dhananjay


Rota nahi ya use rona nahi aata,


Sangdil hai ya aankhon mein… Pani nahi aata?





Ek tu teri awaaz yaad ayegi, teri kahi hui har baat yaad ayegi,


Din dhal jayega raat yaad ayegi, har lamha pehli mulaqaat yaad aayegi 

Door hi sahi, kinaara to hai... Timtimaata hi sahi, sitaara to hai..


Ho jaati hai tumhari yaad se hi tasalli.. Tinka hi sahi... sahara to hai 

Jiski Talash hai Usko pata bhi nahi, Hamari Chahat ko Usne samja hi nahi 
Dhananjay.


Hum Puchhte Rahe Ki Kya Tumhe Humse Pyaar Hai Aur Woh Kehte Rahe Ki Unhe Pata Hi Nahi.

Saturday, September 18, 2010

Mulaqaat

Kal ek Shakhs se Mulaqaat Ho gai
pal pal joda or din bhar baat ho gai


subah ka dilkash manzar cheda
kab na jaane haseen raat ho gai


Khuda bhi the shayad meherbaan humpe
chaha tha bheegna or barsaat ho gai


baaton baaton me jab muskuraye woh
yu laga hawaa bhi apne saath ho gai


tab se ud rahi hoon hawao mai "Lamha"
jaise mujh nacheez ki koi auqaat ho gai






Aji Daur Hee Aisa Hain To Kya Karen ?
Jara-Sa Pane Ko Sab Kuchh Kho De


Gum Kee Beej Agar Sukun Kee Daane De,
To Ekk Gum Khushi Se Hum Roj Bo Dein


Paap Bahut Hain To Saat Janam Bhii To Hain,
Itne Waqt Mein To Rooh Bhii Ro De


Aji Daur Hee Aisa Hain To Kya Karen ?
Jara-Sa Pane Ko Sab Kuch Kho De






Pathron Ko Dil Ka Haal Sunana Chala Hun,
Roothi Hui Kismat Ko Manane Chala Hun,

Nakam Hasrato Ka Janaza Uthaye Hue,
Mein Unse Wafa Nibhane Chala Hun,

Woh Bewafa Na The,Main Badnaseeb Tha,
Ye Baat Zamane Ko Batane Chala Hun,

Sawan Ki Ghataon Tum Kal Umadna,
Aaj To Main Aansu Bahane Chala Hun,

Jaha Banaya Tha Maine Kai Aashiyana,
Aaj Usi Shaakh Ko Jalane Chala Hun,

Meri Shayri Kisi Ka Dil Na Dukha De,
Isliye Tanhaayi Ko Apni Gazal Sunane Chala Hun.






Besabr hoke, yado.n ke , khaane dhundte hai
najaane hum diwaane, kya jaane ,dhundte hai

hum aise dhundte hai, is dunya me khushi ko
jaise parinde ,sahra,me daane dhundte hai

bachpan me, ghode haathi ,hass hass ke tod dale
Ro ro ke ab, khilone ,puraane dhundte hai

'Dil tak luta diya tha, jin dosto pe maine'
Vo jeb me meri, ik du-anne dhundte hai

taro.n ko chuune walo, kya tumko kuch khabar hai?
dairo haram ko tere, veeraane dhundte hai

ro ro ke muskurati, hai aediyan gumaa se
Jab baap beti bihane ,gharaane dhundte hai

Ik vo hai jo rihaii, ke dhundte hai pahlu
Ik hum hai, jo tire dil me , thaane dhundte hai

Bedar ho gayi hai, paiso se neend jinki
Besood ,khwab ab vo, sirhane dhundte hai






Gham paraaya beshumaar leta houn
Gar mile to thoda sa pyaar leta houn

Hansne ka ek bhi bahaana jo na mila
Mouskurane ka hi ikhtiyaar leta houn

Saara jahan nashe main jhoomta hai
Tere ishk ka jab khoumaar leta houn

Jab bhi poukaarti ho, milne ko tumse
Fauran khayalon ka raftaar leta houn

Gulshan e zindagi main rakha hai kya
Tum phool lelo, mein khaar leta houn

Mere jabeen ko chandan se kya kaam
Tumhare paaon ke ghubaar leta houn

Khuda ka koyi naqsh na mila mujh ko
Bandagi main tera hi nigaar leta houn

Mushkil hai Tanha Rahi ka Thak jaana
Tere tasawwur main qaraar leta houn






Mujhe Mera Janaza Sajane Do,
Mujhe Mera Dard Sunane Do,

Meri Maut Ki Murad Mango Ae Doston,
Ki Main Tumhari Khushi Mangta Hun,
Tum Khush Raho Ae Doston,
Ki Tumhe Pyaar Mein Bewafaaii Na Mile,
Sirf Isiliye Main Dard Ki Sima Lhanghta Hun,


Jab Tak Rahunga Zinda Aansu Ki Jagah Khoon Bahaunga,
Chahe Laal Ho Jaye Meri Aankhen Rote Rote Tujhe Dekh Kar Phir Bhi Muskraunga,


Mujhe Mera Janaza Sajane Do,
Jab Tak Mar Na Jaun Tab Tak Dil Jalane Do,






wo mujhse meri udasiyo ki wajah puchte hai
kitne bedard hai raat ke sannate ki wajah puchte hai

wo mujhse mere aansuoo ki wajah poochte hai
kitne jalim hai baarish ki barashne ki wajah puchte hai

wo mujhse meri pasand puchte hai
kitne pagal hai wo khud apne bare me puchte hai

wo mujhse mere rone ki wajah puchte hai
kitne chalak hai mujhe rulane ki wajah dhundte hai

wo mujhse mere wafa ki inteha puchte hai
kitne bhole hai sahil par khade samandar ki gharai puchte hai

aaj bhi jane kyun ye kambakht dil use pyar karta hai
ek wo hai jo door jane ke raste dhundte hai