Dhananjay Parmar Mein tujhe kho ke bhi zinda hoon, Yeh dekha tu ne, Kiss qadar hauslaa haarey huye insaan mein hai.. |
Hi friend’s
This is just poem and shayari,
Zakhm
ko phul to sar sar ko saba kahte hain
Jane
kya daur hai kya log hain kya kahte hain
Kya
qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
Ab
vahi log hamain abalapa kahte hain
Koi
batalao ke ik umr ka bichara mahabub
Ittefaqan
kahin mil jaye to kya kahte hain
Ye
bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri
Gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada
kahte hain
Jab
talak dur hai tu teri parastish kar lain
Ham
jise chu na sakain us ko khuda kahte hain
Kya
tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko ‘faraz’
Wo
jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain
No comments:
Post a Comment