Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Is Baat Ka
Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe
Main Us Ko
Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
Us Ne To
Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe
Pathar
Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia
Afsos Teri
Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe
Kya Umedein
Baandh Kar Aaya Tha Samnay “Dhananjay”
Us Ne To
Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe?!!!
Hoon To
Khafa Us SE,
Per Janay
Phir B Kiyn…?
Na Chaah Kar
Bhi Us Ko Chahna Acha Lagta Hai…
Haqeeqat Se
Hoon Dhoor,
Ye Mujh Ko
Hai Pata…
Per Jaan K
Anjaan Rehna Acha Lagta Hai…
Qaayel Nahi
Main Ronay Ki Phir B Kabhi Kabhi…
Tanhai Main
Kuch Dair Rona Acha Lagta Hai…
Tu MERA Tha,
Tu MERA Hai,
Tu MERA
Rahay Ga…
Kuch Pal Is
Khawab Mein Khona Acha Lagta Hai “Dhananjay”….!!
Meri Maut
Hai Meri Hamsafar Meri Zindagi Bhi Ajeeb Hai
Meray
Charo’n Tarrf Hai Jalwa Garr Teri Be Rukhi Bhi Ajeeb Hai
Mera Dard
Hai Lab E Aashna Teri Ranjisho’n K Azaab Say
Meray Shair
Hain Meray Chara Garr Meri Dil Lagi Bhi Ajeeb Hai
Jo Hai
Ta’ana Zann Meri Zaat Par Mujhay Unsay Koi Gila Nahee’n
Mujhay Jaan
Say Hain Azeez Tarr Meri Dosti Bhi Ajeeb Hai
Mai Lahoo
Jigar Say Guzar Kar, Tujhay Naql Karta Hoo’n Warq Warq
Hai Qalam Ki
Nauk Say Mukhtasar Teri Aagahee Bhi Ajeeb Hai
Mai Peher Ki
Tapti Hawao’n Say, Karhi Dhoop Mai Kharha Be Khabar “Dhananjay”
Sar-e-Reh-Guzar
Tera Muntazar, Meri Be Basi Bhi Ajeeb Hai
Rootha agr
tujh sy to is andaz say rothon ga…
Tere shehar
ki matti b “Dhananjay” ka wajod ko trsey gi…