Wednesday, August 17, 2011

Jo Na Hona Tha

Jo na hona tha hua kyun, main ishi soch mai hoon,
Raha mujhse wo juda kyun, mai ishi soch mai hoon,

Youn to har shay mai hai uska hi chamakta chahra,
Dil e beemar ka ek wo hi to masheeha hai,


Phir na jane wo mujhse hai khafa kyun, main ishi soch mai hoon.

Meri chahat ka nighebaan hai wo mera sanam,
Meri khushiyon ka ek wo hi to khajana hai,


Phir in haathon ki lakeeron ke alag nishan kyun, main ishi soch mai hoon.

Uske aane se to har shay mai roshnayi hai,
Wo mahakta hai to baagon mai aati hai bahaar,


Phir wo mera shahe khuba mujhse ba-dua kyun, main ishi soch mai hoon.

Jo na hona tha hua kyun, main ishi soch mai hoon DHANANJAY .
Raha mujhse wo juda kyun, main ishi soch mai hoon.

Tuesday, August 16, 2011

Kbi Mil K B

Ye Ulfaten b ajeeb hen, Ye Chahten b ajeeb hen
Kbi Mil k b na Pas hain Kbi pas ho k b na mil saky

Kbi Yad ayi to Beshumar, kbi Ro diye to Behisab
Ye Dil ki Halten b ajeeb henye Sazishen b ajeeb hen

Kbi Lrzishenkbi Rnjishen, Kbi DurianKbi Mjburian
Ye Uljhanenb ajeeb henYe Mushkilen b ajeeb hen

TUM hansty to Sirf Mery Liye, TUM Roty to sirf mery liye DHANANJAY
Ye Khahishen b ajeeb henYe Hasraten b ajeeb hen.

Sunday, August 7, 2011

Khon E Dil

lab-e-Khamosh se izhaar-e-tamanna chahe
baat karane ko bhi tasvir ka lahaja chahe

tu chale sath to ahat bhi na aye apni
daramiyaan ham bhi na ho yun tujhe tanha chahe


zahiri ankhon se kya dekh sakega koi
apne baaton pe bhi ham faash hona chaahe


jism-poshi ko mile chadar-e-aflak hamein
sar chupane ke liye vusaat -e-sehara chahe


Khvaab mein roye to ehasas ho sairabi ka
ret par soyein magar ankh mein dariya chahe


bhed carh jaun na main apne hi Khair-o-shar ki
Khon-e-dil zabt kare zaKhm tamasha chahe


zindagi ankh se ojhal ho magar Khatm na ho
ek jahan aur pas-e-parda-e-duniya chahe


aj ka din to chalo kat hi gaya jaise bhi kataa
ab Khuda-band se Khairiyat-e-farda chahe


aise tairaak bhi dekhe hain DHANANJAY hamne
Garq hone ke liye bhi jo sahara chahe

Saturday, August 6, 2011

Chupke Se

Kabhi Zindagi Kahin Rangoon Mein, Dhal Jaaye…….!
Kabhi Maasoom Aankhoon Mein, Kaai Mousam Simat Jaain…….!

Yunhi Chupke Se Dil Mera, Tumhaare Dil Mein Utar Jaaye…….!
Kabhi Halki Si Aahat Par Thami, Dharkan Machal Jaaye…….!

Kabhi Yaadoon Ke Shehroon Mein, Kaai Baadal Baras Jaain…….!
Kahin Koi Justuju Ho To, Tumhaara Aks Mil Jaaye…….!

Koi Gham Na Rahe Baaki Is Dil Mein, Mere Jaana…….! DHANANJAY
Rahe Jahaan Bhi Dil Mera Par Dil-E-Dharkan, Tumhaare Paas Reh Jaaye