Tuesday, August 10, 2010

Qatra Qatra

Qatra Qatra Choo Rahi Hai In Labon Ko Zindagi
Lamha Lamha Dil Se Rukhsat Ho Rahi Hai Saans Bhi

Seekh Woh Hum Ne Liyaa Hai Jo Nahin Aata Tha Kal
Thi Nahin Hum Mein Magar Ab Aa Gayee Deewaangee

Roothey Roothey Jaise Mujh Se Hain Ujaale Aaj Bhi
Aaj Phailaata Hoon Daaman Phir Se Bhar De Roshni

Ab Nahin Lamhe Sukoon Ke, Ab Nahin Pal Ka Qaraar
Ab Nahin Woh Zindagi Jo Hum Se Milti Thi Kabhi

Dhoondne Niklaa Hoon Saamaan Kuch Mera Khoyaa Huaa
Jodne Baithaa Hoon Tooti Ek Imaarat Kaanch Ki

Boltaa Hoon Kuch Agar To Hai Badi Ruswaaiyaan
Mere Afsaane Mein Shaamil Hai Fasaane Aur Bhi

Bujh Gaye Saare Diye Jab Hum Ko Aaya Ek Khayaal
Soch Kar Kya Hum Ne Ki Thi Aandhiyon Se Dosti

Aa Nahin Saktaa Hai Woh Kuch Us Ki Hai Majbooriyaan
Jaa Nahin Paata Hoon Main Bhi Uski Jaanib Kyon Kabhi

Ek Zaraa "Dhananjay" Nazar Aati Hai Kuch Umeed Si
Dekhtaa Hoon Kar Ke Koshish Ek Dafaa, Ek Aakhri

No comments:

Post a Comment