Dhananjay Parmar Kyu Dare, ki Zindagi Me Kya Hoga, Har Waqt Kyu Soche Ki Bas Bura Hoga, Badhte Rahe Bas Manzilo Ki Aur Hum, Kuchh Na Bhi Mila To Kya., Tazurba to Hoga... :) |
Hi friend’s
This
is just poem and shayari,
Wohi
izteraab-e firaq hai, wohi ishtiyaaq-e-wisaal hai
Teri
justuju meiN jo haal thaa, tujhey paa ke bhi wohi haal hai
Na
maal-e zeest ki fikr hai, na tabaahiyoN ka khayaal hai
Mujhey
sirf is ka malaal hai, ke tumheiN bhi mera malaal hai
Teri
aarzu hee ka faiz hai, teri yaad hee ka kamaal hai
Kabhi
mujh ko tera khayaal tha, magar aaj apna khayaal hai
NahiN
koi raahnuma to kya, hai khilaaf saari faza to kya
Mujhey
fikr sood-o-ziyaaN ho kyuN, teri yaad shaamil-e-haal hai
Hai
junoon-e-shouq ajab junoon, na khalish khalish na sukoon sukoon
Kabhi
khaar wajh-e-nishaat hai, kabhi phool wajh-e malaal hai
Ho
payam-e-azmat-e-jawedaaN, gham-e ishq ho ke gham-e jahaaN
Jo
zameer ko na jaga sakey, woh malaal koi malaal hai?
Mera
haal aaj zaboon hai kyuN, mera dard aaj fazooN hai kyuN
Mere
mehrabaaN mere chaaragar, teri aabru ka sawaal hai
Tere
gham ke naaz utha sakey, tere gham meiN hasti mita sakey
Bajuz
aik ‘Qabil’-e sakht jaaN, yeh kahaaN kisi ki majaal hai
Dhananjay Parmar |