Sunday, January 1, 2012

Likhe The Jisne

Dhananjay Parmar
Dhananjay Parmar



Hi friend’s
This is just poem and shayari,
Wo Pani Ki Lehron Pe Kya Likh Raha Tha..
Khuda Jane Hurf-e-Dua Likh Raha Tha..

Likhe The Jisne Wafa Ke Maane Aadhure..
Woh Shakhs Pyar Ki Inteha Likh Raha Tha..

Zara Uski Aankh Se Aanso Na Nikle..
Woh Shakhs Jab Zindagi Ko Saza Likh Raha Tha..

Mohabbat Mein Nafrat Mili Thi Usse Bhi..
Woh Har Shakhs Ko Bewafa Likh Raha Tha..



Apni dhun mein rehta hoon
Mein bhi tere jesa hoon
Oo pichli rut ke sathi
Mein bhi tere jesa hoon
Teri gali mein sara din
Dukh ke kankar chunta hoon
Mera diya jalaye kon
Mein tera khali kamra hoon
Tu jeevan ki bhari gali
Mein jungle ka tanha rasta hoon
Aati rut mujhe roye gi
Jaati rut ka jhonka hoon



Dil mein ab yun tere bhooley howey gham ate hain
Jese bichre huye kaabey mein sanam ate hain

Ek ek kar ke huye jate hain diye tarey roshan
Meri manzil ki taraf tere kadam ate hain

Raqs-e-meh tez karo, Saaz ki leh tez karo
Suye meh-khana safeeran-e-haram ate hain

Kuch humain tou nahin ehsan uthaney ka dimagh
Woh tou jab ate hain mayel be-karam ate hain

Aur kuch der na guzrey shab-e-furkat se kaho
Dil bhi kam dukhta hai, woh yaad bhi kam ate hain



Kuch apne lub o lehje ko tabdeel wo karta
Phir hum se bayan ranj ki tafseel wo karta
Yak tarfa takazay to nibae nhai jate
Kuch apne faraaiz ki bhi tameel wo karta,
Ilzamm lagata wo bare sho se par,
Kch apne kiye wadoon ki takmeel wo karta,
Kuch us ko bi ehsas to hota tanhai ka,
Kuch khuwab mere khud me tabdeel wo karta..



Dour-e-Gul Rukhsat Hua, Hathon Me Pathar Reh Gaye
Is Qadar Badla Zmana, Log Shashdar Reh Gaye

Hm Bhala Kis Se Kahein Mehrumion Ki Dastan?
Tishna Lub Hm Hi Nahi, Pyasy Smundr Reh Gye

Zeest Ki Sachaiyon Ka Zehr Pi Jany K Baad
Talkhion K Zaiqy Meri Zubaan Pr Reh Gye

Jany Kesy Log Thay Jo Naqsh-e-Daaim ban Gye
Aankh Se Ojhal Huay Pr, Dil K Andar Reh Gye

Haadson Ne Is Qadar Sb Se Gureizaan Kr Dia
Tujh Se Kya, Hm Khud Se B Aksar Ulajh Kr Reh Gaye..!