Friday, November 9, 2012

Wo Jaanta Hai

Dhananjay Parmar
Hi friend’s
This is just poem and shayari,


ko e yar janay ki zarorat nahi parti
fasla kam ho, zarorat nahi parti

farq parta nahi kisi ko kuch kehnay sey
mohabat khud sey he ho, zarorat nahi parti


baat sach ho tu kia kray koe moeen
yaqeen dilanay ki zarorat nahi parti


durr hon tu dekho tu aisa he hai
qareeb ho koe tu zarorat nahi parti.



Phira Hun Saaray Zamanay Mein Darbadar Kaisay
Mein Tere Baad Bhi Zinda Raha Magar Kaisay ?

Wo Jaanta Hai Ke Kuch Roz Wo Nahi Tha Tou Mein
Pukaarta Raha Os Ko Idhar Udhar Kaisay


Mein Jis Ke Hijr Mein Roya Hun Paaglon Ki Tarah
Wo Kal Mila Tou Hansa Mere Haal Per Kaisay


Azeez-Tar Thi Jisay Neend Shaam-e-Vasl Mein Bhi
Wo Tere Hijr Mein Jaaga Hai Umer Bhar Kaisay


Kahan Ki Dosti , Kaisa Firaaq , Kon “Mohsin” ?
Mein Khud Ko Bhool Gaya Tujh Ko Bhool Kar Kaisay



No comments:

Post a Comment