Monday, November 12, 2012

Bewafa Hum Hi Sahi

Dhananjay Parmar


Hi friend’s                
This is just poem and shayari,


Zindagi khawab-e-pareshaan se zeyada to nahin,
Is main tabeer bhi mil jaye yeh waada to nahin,

Baat be’baat ulajhney ki yeh huu kesi hai,
Yeh bataa tera bicharrney ka iraada to nahin,


Kon khushbuu ke peechey geya door talak,
Log saada hain magar itney bhi saada to nahin,

Kis khushi se mujhe bheja hai bata surkh gulaab,
Zulm ka yeh teri jaanib se iraada to nahin,


Bewafa hum hi sahi, khud pe bhi kuch ghaur karo,
Be’rukhi aap ki bhi hadh se zeyadaa to nahin..



Ishq kesa ke bharosa bhi nahin tha shayed,
Us ne mera koi rishta bhi nahin tha shayed,

Halqat-e-yaar main jis haar ke charchey hain bohat,
Main woh baazi kabhi khelaa bhi nahin tha shayed,

Zeest karne ke sab adaab usey azbar they,
Mujh ko marney ka saleeqa bhi nahin tha shayed,

Khaak urratey huye bazaron mein dekha sab ne,
Main kabhi ghar se nikla bhi nahin tha shayed,

Us ki ankhon mein bashaarat thi naye khawbon ki,
Main usey dekh ke chonka bhi nahin tha shayed,

Aik baadal ke mere naam se mansoob hua,
Mere sehraa main to barsaa bhi nahin tha shayed..


Apna to chahton mein yehi ik asool hai,
Tera bhalaa bura humain sab kuch qubool hai,

Yeh umar bhar ka jaagna bekaar hi na jaye,
Tu naa mila to saari reyaazat fazool hai,

Khud hi kaha tha tu ne meri jaan chorr de,
Ab chorr di to kyon tera chehra malool hai,

Aye Maan yeh meri shohrtain meri yeh iztain,
Kuch bhi nahin bass tere kadmon ki dhool hai,

Aayi jo teri yaad to aankhain barass parri,
Iss waqt tere dard ka dil per nazool hai,

Ik doosrey ke waastey dono baney Wasi,
Guldaan mera dil hai teri yaad phool hai..


Kya khabar kab hath mera chorr de,
Mujh ko adhey rastey se morr de,

Main kahoon tujh se ke mere sath chal,
Tu kahe, ab mera sath chorr de,


Har gharri dekhe yeh tera rasta,
Mera rishta mere dil se jorr de,


Kuch nahin tera pata ke bewafa,
Shayed ab ke aabley bhi phorr de,


Kaanch ki deewar sa hai mera dil,
Berukhi se dekh usko, torr de..



Zamane wale kabhi bhi apne nahin hote
Har jai chehre wafa ka pekar nahin hote

Jin k pass hoti hain umer bhar ki yadain
Wo log tanhai me bhi tanha nahin hote


Na daikh yon kisi ghareeb ko nech nazroon se
Koi majbori na ho to hath phele nahin jate


Waste daite hain abb Khoda k tujhe
Aur hum se abb jabar sehne nahin hote


Shaid ajj me tere naseeb me hota
Agar tum mere ansaon par hanse nahin hote


Bhool jate hain jo apni mohabbat ko
Ankhon me un k anso nahin hote


Photata hai jin k andar chashma mohabbat ka
Daman un k kabhi mele nahin hote


HUSSNAIN chahte hain jo kisi ko sache dil se
Aik din k wo mehtaj nahin hote





No comments:

Post a Comment