Thursday, September 27, 2012

Usey Kehna

Dhananjay Parmar

Hi friend’s
This is just poem and shayari,


Usey kehna,
Ke aaj bhi,
Koi apni saanson mein,
Teri sansain talash karta hai,


Usey kehna,
Ke aaj bhi,
Koi apne dil mein,
Teri dharkan talash karta hai,


Usey kehna,
Ke aaj bhi,
Koi apne seeney mein,
Teri chahat ki haraarat talash karta hai,


Usey kehna,
Ke aaj bhi,
Koi apne hathon per,
Tere hathon ka lamss talaash karta hai,


Usey kehna,
Ke aaj bhi,
Koi hijar ki raaton mein,
Wassl ke lamhaat talash karta hai..



Wo Shaks Jisko Meri Zindagi Mein Aana Tha
Suna Hai Oske Taaqub Mein Ek Zamaana Tha

Na Tha Pasand Ksi Ko Bhi Dil Se Dil Ka Milaap
Magar Hamain TOu Diye Se Diya Jalaana Tha

Na Jaanay Bheeg CHali Kiun Hamaari Peshaani ?
Hamaaray Sar Pe Tou Sooraj Ka Shaamyaana Tha

Bohat Urooj Pe Thay Jub Hamaaray Qoul-o-Qasam
Hamaaray Pyaar Ka Wo Aakhri Zamaana Tha

Bohat Qareeb, Bohat Hee Qareeb Tha Sayyaad
Qafas Se Door Bohat Door Aashyaana Tha

Qateel Tujh Ko Mili Hai Isi Lye Shohrat
Ke Tu Samaaj Ki Tanqeed Ka Nishaana Tha



Dhananjay Parmar

No comments:

Post a Comment