Tuesday, September 25, 2012

Hai Zindagi Os Se

Dhananjay Parmar

Hi friend’s
This is just poem and shayari,


Jurm-e-ikhhlaas ke aisay bhe saza daitay hain
Loog apnon ko bhe nazroon say gira daitay hain
Taur laitay hain ik pal main sub rishtay natay
Sadiyun ke rafaaqat ko bhoola daitay hain
Tukray kartay hain mohobat ke tehreeron ke
Dooor ja k kehin paani main baha daitay hain
Ana k naam per behen ore beti ko bhe
Aag main jhoonk kar zinda jala daitay hain
Jurm tau jurm hay wo chahay mohobat ka ho
Loog nishaana khhaloos ko bhe bana daitay hain
Jin pay kartay hain wafaaon ka bharosa hum
Dost bun k rustay main daghha daitay hain
Tum kahan yaad rakho gaiy humain ibn-e-aadam
Hum tumhain apnay dil main jagah daitay hain
Jab ye likhtay hain mohobat ke kahani shaukat
Shama kee chah main perwana jala daitay hain



U.S. President Barack Obama (C) arrives for a Security Council Summit meeting during the United Nations General Assembly at U.N. headquarters in New York, September 24, 2009. Reuters


Saltanat Dil Mein Hee Nahi Oski
Aasmaan Tak Hai Sar-Zameen Oski
Phir Paharon Pe Barf Pighli Hai
Phir Damaknay Lagi Jabeen Oski

Dehaan Rakhna Har Ik Aahat Per
Shaayad Ubhray Sadaa Kaheen Oski

Ab Bhi Roshan Hai Zindagi Os Se
Ab Bhi Soorat Hai Dil-Nasheen Oski

Hijr Ki Rut Azaab Hai Mohsin
Aadatain Sab Badal Gayin Oski



A U.S. Secret Service agent stands watch as Marine One, carrying President Barack Obama, arrives in Lower Manhattan in New York, Monday, Sept. 21, 2009. AP


Sadiyon Sey Jagi Ankhon Ko Eik Bar Sulaney Ajao,
Mana Key Tum Ko Pyaar Nahin Nafrat Hi Jataney Ajao,
Jis Mor Pey Hum Ko Chor Gaye Hum Bethey Ab Tak Soch Rahey,
Kya Bhool Hoi Kyun Juda Hoye Bus Yeh Samjhaney Ajao,

Her Lamha Teri Furqat Main Hum Tarap Rahey Hum Tras Rahey,
Meri Mano Tum Is Dil Ko Kuch Pal Hi Behlaney Ajao….



A U.S. Secret Service agent follows President Barack Obama after he spoke about the economy, Monday, Sept. 21, 2009, at Hudson Valley Community College in Troy, N.Y. AP




Dhananjay Parmar

No comments:

Post a Comment