Friday, June 22, 2012

Koi Zaroori Tha

Dhananjay Parmar
Hi friend’s
This is just poem and shayari,
Thi Gar Aanay Mein Maslihat Haail
Yaad Aana Koi Zaroori Tha ?
Dekhiye Ho Gayi Ghalat-Fehmi
Muskuraana Koi Zaroori Tha ?
Lijiye Baat Hee Na Yaad Rahi
Gungunaana Koi Zaroori Tha ?
Gungunaa Kar Meri Jawaan Ghazlain
Jhoom Jana Koi Zaroori Tha ?
Mujh Ko Paa Kar Kisi Khayaal Mein Guum
Chhup Ke Aana Koi Zaroori Tha ?
Uff Wo Zulfain, Wo Naaganain, Wo Hansi
Yun Daraana Koi Zaroori Tha ?
Aur Aisay Eham Mazaaq Ke Baad
Rooth Jaana Koi Zaroori Tha ?



Kubhi Safar Tou Kubhi Shaam Le Gaya Mujh Se
Tumhara Dard Kayi Kaam Le Gaya Mujh Se
Mujhe Khabar Na Howi Aur Zamaana Jaatay Howay
Nazar Bachaa Ke Tera Naam Le Gaya Mujh Se
Ose Ziaada Zaroorat Thi Ghar Basaanay Ki
Wo Aake Mere Dar-o-Baam Le Gaya Mujh Se
Bhalaa Kahan Koi Juz Oske Milnay Waala Tha
Bas Ik Jurrat-e-Naakaam Le Gaya Mujh Se
Bas Ik Lamhay Ke Sach Jhoot Ke Awiz Farhat
Tamaam Umar Ka ilzaam Le Gaya Mujh Se



Ik Yehi Roshni Imkaan Mein Hai
TU Abhi Tak Dil-e-Veeran Mein Hai
Shor Barpa Hai Teri Yaadon Ka
Ronaq-e-Hijr Bayabaan Mein Hai
Pyaar Aur Zindagi Se Lagta Hai
Koi Zinda Dil Be-Jaan Mein Hai
Aaj Bhi Tere Badan Ki Khushbu
Tere Bhaijay Howay Guldaan Mein Hai
Zindagi Bhi Hai Meri Aankhon Mein
Mout Bhee Deeda-e-Hairaan Mein Hai
Dil Abhi Niklaa Nahi Seenay Se
Ik Qaidi Abhi Zindaan Mein Hai



Dhananjay Parmar

No comments:

Post a Comment