Tuesday, February 7, 2012

Iss Safar Main

Dhananjay Parmar
Hi friend’s
This is just poem and shayari,

Naam le le kar naa mera shehar ki nazroon main aa
Mujh se milna hai to mere dil ke sehraao main aa
Iss safar main daikh ghull jata hai miti ka badan
Mujh se milne ki naa khuwahish kar naa barsaatoon main aa
Loog tujh ko gungunaain meri khuwahish ki tarha
Aik achoote shair ki surat meri ghazloon main aa
Be hunar logoon ne phir maanga mere fun ka saboot
Aa meri sachaai ki khushboo meri lafzoon main aa
Ghar ke darwaze pe aakar kyun qadam rukne lage
Aa meri tanhaai, meri muntazir bahoon main aa



Yahan Lehroon Nay Saahil Say Judda Hona Hi Tha
Jis Tarhan Hum Nay Chaha Us Tarhan Hona Hi Tha
Raiza Raiza Ho Kar Beekhra Fizzaon Main Baddan
Chaandni Ki Chaah Main Yeh Haadsa Hona Hi Tha

Hadoon Say Ghuzar Kar Hum Nay Pooja Tha Jinhain
Un Haseen Logon Nay Aakhir Dewata Hona Hi Tha
Ummar Bhar Dil Shaad Rehta Tark-E-Ulfat Pay Mera
Ek Baar Tu Woh Poochta Agar Bewafa Hona Hi Tha
Hain Mundaamil Ab Chahatoon K Woh Zakham
Jal K Dil Ki Raakh Nay Aakhir Dawa Hona Hi Tha



Agar wo pyaar kar laiti
Maira daaman pakaR laiti
To jeevan main faqat us say
Mohabbat farz ho jaati
Mohabbat qarz ho jaati
Magar
Acha kiya us nay
Mujhay samjha kay chal nikli
Mujhay thukra kay chal nikli
Bohat nadaan si hay wo
Abhi anjaan si hay wo
Kahan ma’loom hay us ko
Mohabat zindagi main bus
Faqat ik baar milti hay
Agar thukra kay chal niklain
To umrain beet jaati hain
Mohabbat ki tamanna main
Magar
Har ik rastay pay
Sirf ruswaaii milti hay
Faqat tanhaaii milti hay



Dukh De Kar Sawaal Karte ho,
Tum Bhi Janam ! Kamaal Karte ho..
Dekh Kar Puchh Liya haal mera,
Chalo Kuchh to Khayaal Karte ho..
Shehar -e- Dil me Ye Udaasiyaan Kaisi,
Ye Bhi mujh se Sawaal Karte ho ???
Marnaa Chaahain to mar nahi Sakte,
tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho..
Ab Kis Kis Ki misaal Doon tum Ko ?
Her Sitam Be-misaal Karte ho…..!!



Dil mein hum aik hi jazbe ko samoyen kese,
Ab tujhe paa ke yeh uljhan hai ke khoyen kese,
Zehen chalni jo kiya hai, To yeh majboori hai,
Jitne kaante hain, woh talwon mein piroyen kese,
Hum ne maana ke bohat der hai hashar aney tak,
Chaar janib teri aahat ho to soyen kese,
Kitni hasrat thi, Tujhe pass bitha ker rote,
Ab yeh yeh mushkil hai, Tere samne royen kese…
(Samoyen:Keep)(Chalni:Injured)(Talwon:Feet)(Hashar:Judgement Day)


No comments:

Post a Comment