Friday, February 17, 2012

Apne Aap Se

Dhananjay Parmar
Hi friend’s
This is just poem and shayari,

Aaj apni Muhabat ko naya morr diya us ne,
Mere liye baalon ko khula chorr diya us ne!
Pehle hansta tha main muh khol k,
Ab to Aage wala hi daant torr diya us ne!
Us ne sargoshi ka kaha main betaab ho gaya,
Kaan paas kiya to marorr diya us ne!

Sardiyan aaeen to laya maaltay mehboob k liye,
Malta kha k chilka ankhon main nichor diya us ne!
Bewafai ki had b dikha di ik din us zalim ne,
Milne ghar gaya to pechay kutta chor diya usny..’



Shaayed uss ne mujhko tanha dekh liya hai
Dukh ne mere ghar ka rasta dekh liya hai
Apne aap se aankh churaaye phirti hoon main
Aayine mein kiska chehra dekh liya hai
Ab bhi sapne boye to eimaan hai uska
Usne in aankhon mein sehra dekh liya hai
Uss ne mujhe dar-asal kabhi chaha hi nahi tha
Khud ko de ker yeh bhi dhoka dekh liya hai

Uss se milte waqt ka rona kuch fitri tha
Uss se bichar jaane ka nateeja dekh liya hai
Rukhsat karne ke aadaab nibhaane hi they
Band aankhon se usko jata dekh liya hai !!

(Sehra:Desert)(Nateeja:Outcome)(Fitri:Expected)


Yeh dil ka chor ke is ki zaroortain theen bohat,
Wagarna tark-e-taluq ki soortain theen bohat,
Miley to toot roye na khul ke batain keen,
Ke jese ab dilon mein Kudurtain theen bohat,
Bula diye hain tere gham ne dukh zamane ke,
Khuda nahin tha tou pathar ki moortain theen bohat,
Dareeda peerhano ka khayal kya ata,
Ameer sheher ki apni zarooratain theen bohat,
Faraz dil ko nigahon se ikhtlaaf raha,
Wagarna sheher mein hum-shakal soortain theen bohat.
(Chor:Something Fishy)(Tark-e-Taluq:Boycott)(Moortain:Idols)(Ikhtlaaf:Not Agreeing)


Dhananjay Parmar


No comments:

Post a Comment