Friday, December 9, 2011

Ye Faesla

Dhananjay Parmar


Hi friend’s
This is just poem and shayari,

Mili Hayat Hi Aisi Ke Haya Bhi Ro Pari,
Teri Talash Mein Zalim Saza Bhi Ro Pari,
Tujhe Toot Ke Chaha Or Itna Chaha,
Teri Wafa Ke Khatir Wafa Bhi Ro Pari,
Mera Naseeb Meri Qismat Mera Muqadar Bani Tu,
Tujhe Hi Mangte Mangte Dua Bhi Ro Pari,
Kitab-E-Dil Mein Tera Baab Jab Band Kiya,
Khatm Karte Karte Aye Wasi Kitaab Bhi Ro Pari.


Mohabbat ka eraada badal jana bhi mushkil hai
use khona bhi mushkil hai use pana bhi mushkil hai
zaraa si baat par aankhe bhigo kar baith jaate hain
unhe to apne dil ka haal bataana bhi mushkil hai
udaasi unke chehre par gawara nahi lekin
unke khatir sitaare tod kar lana bhi mushkil hai
yahan logo ne khud par etane parde daal rakhe hain
kiske dil me kya hai nazar aana bhi mushkil hai
mana ki khwaabon me mulaakat hogi unse
par yahan to unke binaa nind aana bhi mushkil hai


Be khawb zindagi ka parastaar kon tha,,,???
Itni udas raat mein be daar kon tha,,,?????
Kis ko ye fikr thi k mohabbat mein kia hooa,,,,???
Ham is pe larr rahy they wafadaar kon tha,,,???
So kashtian jala k chaly sahilon se ham,,,
Ab tum ko kia bataen k us paar kon tha,,,,???
Ye faesla to waqt bhi shayed na ker saky,,,,,
Sach kon bolta tha ,adakaar kon tha,,,,???,,


Apni Beeti Howi Rangeen Jawani Dega
Mujhko Tasweer Bhi Dega To Purani Dega,
Adatain Milti Hain Suraaj Se Bohut Kuch Uski
Waqt Rukhsat Bhi Woh Ek, Shaam Suhani Dega,
Mere Mathe Ki Lakeroon Mien Izaafa Kar Ke
Woh Bhi Maazi Ki Tarah Apni Nishaani Dega,
Baraf Ho Jayega Jab Mere Lahu Ka Daryaa
Tab Kaheen Ja Ke Woh Mojoon Ko Rawani Dega,
Meine Yeh Soch Ke Boye Nahin Khwaboon Ke Darakht…
Kaun Jangal Mein Lage Pair Ko Pani Dega

Wo ik masoom si chahat
Wo ik benaam si ulfat
Wo meri zaat ka hissa
Wo meri zeest ka qissa
Mjhy mehsoos hota hai
Wo mere pas hai ub bhe
Wo jab jab yad ata hay
Nigahoun me samata hai
Zuban khamosh hoti hai
Magar ye ankh roti hai
Mein khud se puch leta hun
Usay kya pyar hai mjh se
Jawaban soch leta hun
Usay bhe pyar hai “SHAYAD”
Isi “SHAYAD” se wabsta hai
Ub to her khushi meri
Yahi ek lafz “SHAYAD”
Ban gya hai zindagi meri.



Dhananjay Parmar


No comments:

Post a Comment