Saturday, April 23, 2011

Sehar Ban K

sehar ban k ankhain khulin to haqiqat ka pura sabaq dastaan ho gaya
ye kaya hai,muhabbat main ik shakhas ki apna sara safar raigaan ho gaya

kahan tak suno gae zameen se zameen tak meri dastan-e-kamal-o-arooj
meain pehlay hisaar-e-nadan raha ph…ir asree-e-zameen-o-makan ho gaya

bisaat-e-hunar se janun-e-talab tak,main tuta hon kis trah tumhain kaya khabar
main dil ki hadon se jo agay gaya to meray sath gum ik jahan ho gaya

zamnay ki uljhan main dil ki ghutan b boht jaan leva hoi jis smaye
tumhain hum ne socha to dekha ka pal bhar main kitna hi pyara samaan ho gaya

agrchay kahin shaz-o-nazar hi hota hai aisay k jaisay yahan huwa
abi phul khilnay lgay thay k gulshan ka gulshan hi nazr-e-khizaan ho gaya

abi chand pehnay badal ki chadar,abi “DHANANJAY” thehro ghari do ghari
bri jald bazi hai tujhay meri jaan,kaya hua jo manzar dhunwaan ho gaya




kabhi ai haqiqat-e-muntazir nazar a libas-e-majaz mein
k hazaron sajde tarap rahe hain teri jabin-e-niyaz mein

tarab ashna-e-kharosh ho tu nawa hai mahram-e-gosh ho
wo surur kya k chaya hua ho sukut-e-parda-o-saz mein

tu bacha bacha k na rakh ise tera aina hai wo aina
k shikasta ho to aziz tar hai nigah-e-aina-saz mein

dam-e-tauf kar mak-e-shamma na ye kaha ke wo asr-e-kohan
na teri hikayat-e-soz mein na meri hadis-e-gudaz mein

na kahin jahan mein aman mili jo aman mili to kahan mili
mere jurm-e-khanakharab ko tere azo-e-banda-nawaz mein

na wo ishq mein rahin garmiyan na wo husn mein rahin shokhiyan
na wo gaznawi mein tarap rahi na wo kham hai zulf-e-ayaz mein

jo main sar-ba-sajda kabhi hua to zamin se ane lagi “DHANANJAY”
tera dil to hai sanam-ashana tujhe kya milega namaz mein



Kabhi jo mujh ko talaash kerna
Tou chand raaton ki chandni main

Gul-e-chaman say sawal kerna
Udaas kiun ho??

Kyun oas-Qatron main apnay aanso
Chupaa rehay ho

Haseen mausam main kis ki yadoon main
Apnay dil ko jala rehay ho

Gul-e-chaman yeh sawal sun ker
Tumhari aamad ka haal sun ker

Kehay ga tum jis ko khoojtay ho
Woh in baharoon ki sari khushboo

Churaa kay abb ik nay chaman main
Mehek raha hay

Udaas ker kay yahan pay hum ko
Kisi chaman main chehek raha hay

Gul-e-chaman ka yeh haal sun ker
Tumhain lagay ga main baywafa hoon

Udaas kalioon ko choor ker main
Nai baharoon ko dhoondta hoon

Mager haqeeqat main is chaman kay
Tamaam phoolon ki khwahishon kaa

Aur in ki nakkam kavishoon ka
Haseen mousam ki barishoon ka

Naa meray dil per aser hua tha
Naa meray dil per aser hua hai

Main aaj bhi ik nay chaman main
Puranay qissay suna reha hoon

Joo mere chahat ka devtaa tha
Main aaj bhi us ko poojta hoon

Yaqeen nahi tou palat kay dekho “DHANANJAY”
Waheen khara tha,waheen khara hoon



Kabhi To Miley Pehli Mulaqat Ki Terha
Bigra Hi Rehta Hai Kyun Halaat Ki Terha
Wo Ek Sanam Jo Lage Jaan Se Pyara “DHANANJAY”
Mujhe Waqt To Deta Hai Magar Kheraat Ki Terha



Wo kuch sunta to mein kheta, Mujhy kuch aur khena tha “DHANANJAY”,
Wo Pal bhar ko jo Ruk jata, mujhy Kuch aur khena tha,

Galat Fehmi ny Batoon ko barha dala yunhi warna “DHANANJAY”,
Kaha tha kuch Wo Smjha kuch, Mujhy kuch aur khena tha….



Lakh roshan ho’n, andhero’n se guzarna bhi to hai
Charhte suraj ko samandar mai utarna bhi to hai

Tum jo khush ho meri raho’n mai bicha kar kantey
Inhi raho’n se kabhi tum ko guzarna bhi to hai

Ham kisi aur k ho’n jayain to heirat kaisi “DHANANJAY”
Tum ne jo zakhm diye hain unhe bharna bhi to hai




Woh rula kar hans na paya der tak
jab mein ro kar muskuraya der tak

bhoolna chaha kabhi us ko agar
aur woh yaad aya phi der tak

be-sakhta mein khud hi hanss parra
us ne is darja rulaya der tak

bhookey bachon ki tasali ke liye
maan ne phir paani pakaya der tak

gungunata howa ja raha tha ik fakeer
dhoop rehti hai na saaya der tak

kal andheri raat mein meri tarah
ik jugnu jagmagaya der tak



Mein Yun Miloon Tujhse Ke Tera Libaas Ban Jaon
Tujhe Bana Ke Samandar Aur Khud Pyaas Ban Jaon

Aaj Pehloon Mein Mujhe Toot Ke Bikhar Jane Do
Kal Ko Shayad Mumkin Nahi Ke Mein Tumko Paon

Tu Ban Jaye Lehar Aur Mein Sahil Ban Jaon
Ho Ishq Mera Sahil To Mein Roz Tujhse Takraon

Mein Yun Miloon Tujhse Ke Tera Libaas Ban Jaon “DHANANJAY”
Tujhe Bana Ke Samandar Aur Khud Pyaas Ban Jaon…!!!



Suna hOga tumne kisi se,ke Dard ki ek Hadd hOti hai “DHANANJAY”,
Milo humse ke hum akser us hadd ke paar jatey hain….



No comments:

Post a Comment