Ik
baar jo bichray woh dobara nahi milta,
Mil
jaaye koi shakhs to sara nahi milta,
Us
ki b nikal aati hai izhaar ki soorat,
Jis
shakhs ko lafzon ka sahara nahi milta,
Phir
doobna yeh baat bohat soch le pehle,
Har
laash ko daryaa ka kinaara nahi milta,
Yeh
soch k dil phir se hai aamada e ulfat,
Har
baar mohabat mai khasaara nahi milta,
Woh
shehar bhala kaise lagay apna jahan par,
Ik
shakhs bhi dhoonde se hamara nahi milta
No comments:
Post a Comment