Friday, March 25, 2011

Kaash Aa Jaye Vo

Kaash Aa Jaye Vo Mujhy Jaan Se Guzarty Dekhy
Us Ki Khawahish Thi Kabhi Mujh Ko Bikharty Dekhy

Vo Saleeqy Se Hua Hum Se Gurezan Warna
Log To Saaf Mohabat Se Mukarty Dekhy

Waqat Hota Hai Her Ek Zakham Ka Marham “DHANANJAY”
Phir Bhi Kuch Zakham Thy Asy Jo Na Bharty Dekhy……!!




Bicharty Waqat Se Ab Tak Main Youn Nhi Roya
Vo Keh Gaya Tha,Yehi Waqat Imtehan Ka Hai

Ye Or Bat, K Adalat Hai Be-Khabar Warna
Tamam Sheher Main Charcha Mere Beyan Ka Hai

Asar Dikha Na Saka Us K Dil Main Ashk Mera
Ye Teer Bhi Kisi Tooti Hoi Kaman Ka Hai

Bichar Bhi Jaye Magar Mujh Se Be-Khabar bhi Rahy
Ye Hosla Hi Kahan Mere Bad-Guman Ka Hai

Qafas To Khair Muqadar Main Tha Magar “DHANANJAY”
Hawa Main Shor Abhi Tak Meri Uran Ka Hai…….!!




Aadawtain kab tak bharhah k rakhay ga.
ye chahtain kab tak chopa k rakhay ga .

Main ghair hon ye kab tak bataay ga khud ko .
Tu Dil ko kab tak samja k rakhay ga.

Mana Aana perasat hai tu bhi jlay ga umer sari
Atish-e-Ishaq se khud ko kab tak bacha k rakhay ga .

Meri nazroon ko na sahi lafzoon ko to samjta ho ga.
Meri chahatoon ko tu kab taak dubaa k rakhay ga.

Ye Aana bhi Ghazab ki chiz hai jala diti hai sab “DHANANJAY”
Ye payyar Ishaq mohabat tera sab kuch jala k rakay ga




Apne ehsas kay sab rang uttar janay do
Meri umeed meray khawab bikhar janay do…
Apne angan main charaghon ko jalao na abi,
Meray angan main siya raat utar janay do…

Bari mushkil se mila hai muje mere ghar ka pata
Rassto ab na uljhao muje gher janay do…
Jin kay aane ka bohat shor phaila tha her soo,
Inhi lamhon ko chup chap guzar janay do…
Meri berbadi ka ilzam na aye kahin tum per “DHANANJAY”
Meray halat ko khuch or bigar janay do.


Agar Kaho To Haal Dil Ka Sunaaon Tumko
Tamam Umar Samne Bithaaon Tumko
>Mere Zakhmon Ka Haal Poocho Ager Jaan-e-Jaan
To Ek Ek Zakhm Ki Tafseel Sunaaon Tumko
>Mout Ki Neend Se B Gehri Ek Neend Hoti Hai
Tere Baazuon Ka Ho Takya To Dikhaaon Tumko
>Yehi DUA Hai K Wo Waqt Aaye Ek Baar Phir
Tum Jo Rootho To Hath Jor Kr Manaaon Tumko
>Hr Shakhs Main Mujhe Ek Raqeeb Nazar Aata Hai “DHANANJAY”
Bol Ae Mere ‘HUM NAWA’ Kis Kis Ki Nazar Se Bachaaon Tum ko.

No comments:

Post a Comment