Tuesday, January 25, 2011

Jazba

Ab zid pe aa gaye ho to ye kaam bhi kero
Khud ko humaray naam say badnaam bhi kero

Ye kaya k in ruton mein bhi qaid_e_ana ki zid
Barpa bahaar mein koi kohraam bhi kero

Aashiq ho ger to sabar k zindaan ko torr do
Ahl_e_jahan ki saazishen naKaam bhi kero

Tark_e_tal’luq ka maatam bohat hua
Tum thak gaye ho aao kuch aaram bhi kero… .





Tere shaher teri soch se nikal jaaon ga
Kisi udaas sham main dhal jaaon ga
Tu Ju muker gaya hay her baat se apni
Dekh lena aik din main bhi badal jaon ga
Mat dikha mujh ko apna pashemaan chehra
Jab k tu janta hay main pighal jaaon ga
Chahe lakh terpoon tere intzaar mein
Mat lout k ana main sambhal jaaon ga
Tera hona itna zaroori tou nahin hay
Main tou yaadon k khilonon se behal jaon ga





Charagh hun kab say jal raha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye
Jo bujh gaya to sahar numa hun, mujhy duaon mein yad rakhiye
Jo bat ap keh na paye, meri ghazal mein bayan hoi hai
Main ap ka harf_e_mud’a hun, mujhy duaon mein yad rakhiye
Bohat he shaistagi say her lamha doobti ek sada ki surat
Main khilwat_e_jan mein bujh raha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye
Bala say ye rah_e_shauq meri na ho saki per tumhari khatir
Misal_e_naqsh_e_qadam bicha hun, mujhy duaon mein yad rakhiye… .





yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise
log yuun dekh kar hans dete hain
tuu mujhe bhool gayaa ho jaise
ishq ko shirk kii hadh tak na badhaa
yuun na mil hamse Khudaa ho jaise
maut bhii aaii to iss naaz ke saath
mujh pe ehasaan kiyaa ho jaise
aise anjaan bane baithe ho
tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise
hichkiyaan raat ko aatii hii rahiin
tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise
zindagii beet rahii hai “DHANANJAY”
ek bejurm sazaa ho jaise





khwahish hay k iss toor se jeewan ko guzaroon
har aks tere husn ka ankhun main utaroon
woh tishna labi hay k samjh kuch nahi ata
dariya ko sada doon k samander ko pukaroon
jeewan bhi tu uljhi hoi doroon ki terha hay
iss soch main gum hon k isey kaise guzaroon?
ab iss k siwa mera koi khwaab nahi hay
her saans ko khushnoodi e janaa pe main waroon
bahter hay k ab moot ko seene se laga loon
iss mann ko tere hijer main ab kitna main maroon
pehle tu faqat hasrat e deedar thi Wasiq
ab yeh bhi talab hay k USEY jeet k haroon





bhanvar ki gaud me jaisey kinara sath rehta he
kuch aisay hi tumhara aur hamara sath rehta he
mohabbat ho k nafrat ho usee se mashwara hoga
meri harr kafiyat me iste’aara sath rehta he
safar me ain mumkin he me khud ko chhor doon lekin
duayen karne walon ka sahara sath rehta he
mere maula ne mujhko chahaton ki saltanat de di
magar pehli mohabat ka khasara yaad rehta he
agar “DHANANJAY” mere lab par mohabbat hi mohabbat he
to phir ye kiss liye naffrat ka dhara sath rehta he





Bujhnay lag jai’n to phr shamai’n jala di jai’n
meri aankhai’n mere dushman ko laga di jai’n
be hunr loog kaha’n harf ki sachai kaha’n
ab kitabai’n kisi darya me’n baha di jai’n
un ki pehchaan ka dukh jaa’n se guzr jata hai
ye shabeehai’n sir e aaina ganwa di
jai’naab bicharnay ka saleeqa hai na milnay ka hunar
ishq me’n tuhmatai’n aai’n to bhula di jai’n
ya to khursheed chamakta rahay peshaani me’n
ya lakeerai’n mere mathay ki mita di jai’n
kitni bholi hui batai’n hamai’n aaj us ki “DHANANJAY”
yaad aai hai’n to ab us ko bata di jai’n





Ye dil mera jo bohat beqaraar rehta hai
na jaane kiska isay intezaar rehta hai

Wo duur ho ke bhi rehta hai saat-saat meray
meray khayal ke rath par sawar rehta hai

Kaha tha ishq na karna kisi se dil mairay
junoo mein khud pay kaha ikhteyaar rehta hai

Udaasi jeel sii ankhon say jab tapakti hai
kinaray aab kohi sogwar rehta hai

Ye dil darakta hai bas teri chaap ke sadqay
mareez-e-shab ko tera intezaar rehta hai

Kabhi to khul kay baras ja meri zameenon pay
ke dasht-e-hijr mein haar suu ghubaar rehta hai

Tu mujh Ebad ko izn-e-beyaan ataa kar day
Ke baat karnay ko dil beqaraar rehta hai





Mosam-e-hijar k lamhaat koi kia jany
kia guzarti hai mery sath koi kia jany
duriyon main bhi tery sath marasim hain wohi
rooz hoti hai mulaqat koi kia jany
loog hansti hui ankhon pe yaqeen rakhty hain
mery ansoo mery jazbaat koi kia jany
ik tu hai jisy maloom hain sari baten
shab-e-hijar mery halat koi kia jany
koi kia jany k khamoshiyan kia kehti hain
meri ankhon k sawalat koi kia jany




kabhi deevar kabhi darr ki taraf jatey hain
raastay saray teray ghar ki taraf jatey hain
ik junoo’n hai jo mujhay dasht mai le jata hai
warna pyasay to samandar ki taraf jatey hain
aik mai hoo’n k nikal jata hoo’n rehzann ki taraf
karva’n walay to raahbar ki taraf jatay hain
koi to hai pas e deevar chaman jiss k liye
zavye nazro’n k manzar ki taraf jatay hain
aik hi chaut mai ho jayengay raiza raiza
aainay kiss liye patthar ki taraf jatay hain
zaur e bazoo say bana saktay hain takdeer jo laug
janay kyu’n qaid e muqaddar ki taraf jatay hain
NAAZ anjani si khaahish hai jo le jati hai
laug kab uss boot e kafir ki taraf jatay hain





Bohat farsooda lagte hain mujhe ab yaar ke kissey
Gulo gulzar ki batain, lab o rukhsaar ke kissey
Yahan sab ke mukadar mein fakat zakhm e judai hai
Sabhi jhotey fasaney hain wasal e yaar ke kissey
Bhala ishq o mohabbat se kis ka pait bharta hai
Suno, tum ko sunata hoon mein karobar ke kissey
Mere ehbaab kehte hain yehi ik ae’ib hai mujhe mein
Sar’e deewar likhta hon mein pas’ey deewar ke kissey
Mein aksar is liye logon se ja kar khud nahin milta
Wohi bekaar ki batain, wohi bekaar ke kissey





kisi ke aik anso par hazaron dil tarapty hain
kisi ka umer bhar ka roona unhi bekaar jata hai




Ranjish hi sahi dil hi dukhany k liye aa
aa phir e mjhy chor k jany k liye aa
pehly se marasim na sahi phir b kabi to
rasm-o-rahy dunya hi nibhany k liye aa
kis kis ko bataen ge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai to zamany k liye aa
ab tak dil-e-khush fehem ko tujh se hain umeeden
ye aakhri shammen b bujhany k liye aa




Labon pe hansi ankhon main sawal rakhta tha
is zarf main itna kamal rakhta tha
kia khaber thi mujhy hi bhool jae ga
jo meri ik ik cheez sanbhal rakhta tha
suna hai log ab boht sataty hain usy
main jis ka itna khyal rakhta tha




kon Dete hai umar bhar ka Sath “DHANANJAY”
Log Toh janaza me bhi Kandhe Badalte Rehte hai




Raat Din Hijar Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai,
Kisi Se Ab Itni Muhabbat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Jis Ka Ji Chahay Humein Torr K Tukray Karday,
Is Qadar Narm Tabiyaat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Ek Do Saal K Rishton Se Humein Kya Haasil,
Ek Do Pal Ki Rafaqat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Jinse Bicharen To Sambhalny Me Zamany Lag Jaen,
Aise Logon Se Muraw’wat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Kiya Ajab Haal Hai Chahat K Talabgaron Ka,
Shoq Biknay Ka Hai Qeemat Bhi Nahi Rakhni Hai……!!!!





Kabhi Ghum Ki Aag Main Jal Uthe
Kabhi Dil ka Dagh Jala Dia
Ay Janoon-e-Ishq Bata Zara
Mujhe Kyun Tamasha Bana Dia
Gham-e-Ishq Kitna Ajeeb Hai
Ye Janoon Se Kitna Qareeb Hai
Kabhi Ashk Palkon Pay Ruk Gaye
Kabhi Main Ne Darya Baha Dia
Mera Jazba-e-Shoq To Dekhiye
Meri Bandgi Hai Wo Bandgi
Jahan Tera Naqsh-e-Qadam Mila
Wahin Kaaba Main Ne Bana Dia
Abi Kar Rehe Ho Tum Ibteda
Mera Keh Raha Hai Ye Tajruba
Tumain Zindagi Ki Hai Arzu
Mujhe Zindagi Ne Mita Dia…..!!!





Har insaan ne mohabbat ki jawani aane ke bad,
bna shayer bhi wo hi ,par dil me dard hone ke bad…
ask piye ankho me lali aa jane ke bad,
chhipaya dil-e-dard ko,dil ke ghayal ho jane ke bad…Har insaan ne…
nazar nhi aata chehra-e-noor ,uske mohabbat karne ke bad,
Jane wo bhi ab kaha kho gya ,mere nazar aane ke bad…Har insaan ne…
dil to ab bhi daadkata hai ,uske bas jane ke bad,
par dhadkane sirf usi ki hai,mohabbat me lut jane ke bad…Har insaan ne…
rhoo tere aanchal ke saye me,kyamat tak aa jane ke bad,
sou teri god me hi ,mout bhi aa jane ke bad…Har insaan ne…





pyaar ke dard likhte hai hzaaron
jo likhta hai iski khasiyat, koi usko nhi jaanta
dil ajeeb hai galtiya kre hzzar
pr szaa lene ko kabhi nhi hai manta
rangeen hai zindagi iska karan hai pyaar
pyaar ho skta hai kisko kise ke bi sath yaar
vo oh chahe is kudrat se ya dosto se
pyaar ke lakhon rang hai shumaar
mushkil nhi hai pyaar pana, bas bachna hai mushkil isse
jisne ise bnaya usne kuch nuksaan bi bnaye
jo mane khuda ko is duniya me
vo har jgah hr insaan me nazraana pyaar ka paaye
duniya fir bi likhti hai pyaar ke dhoke
yaad rkh n paaye khushi ke vo pal
mar jayega vo ik saaas me jo pyaar se door hai
ab pyaar ko maan khuda aur iske naam pr chal





Jaane kya hai dil ke andar jo chupke se toot raha hai,
Ek meherbaan ka haath jaise hathon se chooth raha hai……
Ankhon mein ashkon ka samandar hai..
lagta hai jaise koi patta shaakhon se toot raha hai……
Ashkon ko Meri Aankhon mein rehne ki aadat si ho gayi hai
Ab toh Jaise Ishq hi mujh se rooth raha hai……
kuchh farmane ki gustakhi kya mai bhi kar sakti hoon
ek masoom jazbat mera bhi zuban se phoot raha hai……
Pal bhar ka pyaar aur barson ka intezaar
jaise koi apna hi apne ghar ko loot raha hai…





arazu hai vafa kare koi
ji na chahe to kya kare koi
gar marz ho dava kare koi
marne vale ka kya kare koi
koste hain jale hue kya kya
apne haq main dua kare koi
un se sab apni apni kahte hain
mera matalab ada kare koi
tum sarapa ho surat-e-tasvir
tum se phir bat kya kare koi
jis main lakhon baras ki huren hon
aisi jannat ko kya kare koi





Kisi ki chahat ko saza mat dena,
Kisiki Mohabbat ko daga mat dena,
Jise tumhare bager jine ki Aadat na ho,
Use kabhi lambi Umar ki dua mat dena…





Rehne de aasman, zameen ki talash kar,
Sab kuchh yahin hai, na kahin aur talash kar.
Har arzu puri ho to jeene ka kya maza,
Jeene ke liye bus ek kami ki talash kar,





kya bhala mujhko parakhne ka natija nikla
zakhm-e-dil ap ki nazron se bhi gehra nikla
torkar dekh liya aina-e-dil tune
teri surat k siwa aur bata kya nikla
tishnagi jam gai pathar ki tarah honton par
dub kar tere dariya main main pyasa nikla





meri taswir main rang aur kisi ka to nahi
gher len mujhko sab ak main tamasha to nahi
zindagi tujhse har ik sans pe samajhuta karun
shauq jine ka hai mujhko magar itaa to nahi
ruh ko dard mila dard ko ankhen na mili
tujhko mahsus kiya hai tujhe dekha to nahi
sochte sochte dil dubne lagta hai mera
zahan ki tah main 'DHANANJAY' koi dariya to nahi





zakhm-e-tanhai main khushbu-e-hina kis ki thi
saya diwar pe mera tha sada kis ki thi
uski raftar se lipti rahi meri ankhen
us ne mur kar bhi na dekha k wafa kis ki thi
waqt ki tarah dabe panw ye kaun aya hai
main andhera jise samjha wo qaba kis ki thi
ansuon se hi sahi bhar gaya daman mera
hath to main ne uthaye the dua kis ki thi
meri ahon ki zaban koi samajhta kaise
zindagi itni dukhi mere siwa kis ki thi
ag se dosti us ki thi jala ghar mera
di gai kis ko saza aur khata kis ki thi
main ne binaiyan bo kar bhi andhere kate
kis k bas main thi zamin abr-o-hawa kis ki thi
chor di kis liye tu ne "DHANANJAY" duniya
justaju si tujhe har waqt bata kis ki thi




shola hun bharakne ki guzarish nahi karta
sach munh se nikal jata hai koshish nahi karta
girti hui diwar ka hamdard hun lekincharjte hue suraj ki parastish nahi karta
mathe k pasine ki mahak aye to dekhen
wo khun mere jism main gardish nahi karta
hamdardi-e-ahbab se darta hun 'DHANANJAY'
main zakhm to rakhta hun numaish nahi karta





aankh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa
itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to dar jaayegaa
tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur wo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa
zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa
duubate duubate kashtii to ochhaalaa de don
main nahiin koii to saahil pe utar jaayegaa
zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'DHANANJAY'
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa





Asaan nahin aabad karna ghar mohabat ka
ye unka kaam hai jo zindagi barbad karty hain




Tu kisi aur ke liye hoga samander-e-ishq
hum to rooz tery sahil se piyasy guzar jaty hain





Kahin Tanha Na Kar De Tujhe Munfrid Rehne Ka Shoq “DHANANJAY”,
Jub Din Dhale Tu Kisi Se Haal-e-Dil Keh Dia Kar.





Sirf Chehre Ki Udasi Se Bhar Aye Ansoo Faraz,
Dil Ka Alam Tu Abhi Ap Ne Dekha Hi Nahi!!!!





DHANANJAY” wo ankhain jheel c gehri tu hain magar!
un main koi aks meray nam ka nahin
Asahqi sy uski usy bewafa na jan!!
Aadat ki bat aur hai wo dil ka bura nahin





Kehnay ko us say mera koi waasta nahin
Amjad magar woh shakhs mujhay bhoolta nahin

darta hoon aankh kholoon to manzar badal naa jayey
main jaag to raha hoon magar jaagta nahin

aashaftagi say uski usay beywafa naa jaan
aadat ki baat or hay dil ka bura nahin

tanha udaas chaand ko samjho naa beykhabar
hur baat sun raha hay magar bolta nahin

khamosh ratjagoun ka dhuwaan tha chahaar soo
nikla kub aaftaab mujhay to pata nahin

amjad woh aankhain jheel see gehri to hain magar
un main koi bhi aks meray naam ka nahin!!





HairatoN ke silsile soz-e-nihaN tak aa gaye
hum nazar tak chahte tum to jaaN tak aa gaye
un ki palkoN per sitaare apne hoNtoN per haNsi
qissa-e-gham kehte kehte ham kahaaN tak aa gaye
apni apni justaju hai apna apna shauq hai
tum haNsi tak bhi na pahuNche ham fughaaN tak aa gaye
rafta rafta raNg laaya jazba-e-khaamosh ishq
woh taghaaful karte karte imtehaaN tak aa gaye
khud tumheN chaak-e-girebaaN ka sha'ur aa jayega
tum vahaN tak to aa jaao hum jahaaN tak aa gaye






No comments:

Post a Comment