Saturday, December 4, 2010

Lihaaz

Apne dil ko samjha k dekhenge;
Aaj tujhko bhulake dekhenge.
Dekhna hai dil pe kya guzerti hai;
Tera ek khat jalake dekhenge.
Dariya -e- Dil mein koi mauj nahi ;
Aaj aanshu bahake dekhenge.
Chhodker tujhko door jayenge ;
Gum -e- zudai uthake dekhenge .
umra ne kis kadra diye dhoke ;
aaine ko batake dekhenge.
Hum aaj rat roshni k liye;
Charag -e- dil jalake dekhenge.
Jinka kehna tum jiyo ya maro;
unki baton mein aake dekhenge.
Sath guzre haseen lamhon ki;
yaadon ko hum bhulake dekhenge.
Dekhein phir "DHANANJAY" unka rawaiya;
unse nazrein churake dekhenge.




Mere malik kyun mujhe isk de diya toone ;
Kyu mere dil ko ye ehsas de diya tune.
Ya khuda mujhko bata pyar hua hi kyun tha;
Ye kaisa gum meri kismat mein likh diya tune .
Mai bhi to jee sakta tha mohabbat kiye bagair ;’
Kyun ye dard mere dil ko de diya tune .
Wo bhi zinda hain jo wafa ko jante bhi nahi;
Mujhe hi kyun mizaaz -e- ashikaan diya tune.
Reh – reh ke tadpata hai jo meri hadon ko ;
Kyun aisa khaw in aankhon ko de diya tune .
Chain dhoonde se na mile na koi hal hi mile.
Ye kya sawal zindgi ko de diya tune .
Kitni pursukoon thi kabhi meri duniya ;
Ye kya babal meri jaan ko de diya tune .





Ye wo jalwa hai jo khud bekarar hota hai ;
Isk majboor nahi khud mukhtar hota hai .
Fakat chahat ka matlab hi yahan mohabbat nahi hota ;
Ager wo pehlunaseen ho to poyar hota hai ;
Dil se dil ka mil jana hi bahut khoob nahi ;
Wasl -e- wasukoon ho to pyar hota hai.
Nakamiyon se irade to akser toot jate hain;
Jajwa -e- kuchh ker gujer ho to pyar hota hai.
Ye mana khuda karta hai taqdeeron ka faisla ;
Baazi -e- jaan-fanahi ho to pyar hota hai.
Jinhein hai der to wo lut jayeinge ek roj yakinan ;
Khouf -e- anjam ger na ho to pyar hota hai.
Humne bhi kuchh seekha hai tere sath "DHANANJAY";
Aur isk ka mara faquat zar zar rota hai.





Yoon to unse milna bari baat nahi ;
Bus mujhe aage peechhe ghoomna pasand nahi.
Kuchh kam hai abhi shehar mein apni sanasai ;
Yaani ki rutba theek se baland nahi.
Shayad wo aas paas hi nikle hain ghoomne;
Darwaja abhi theek se jo band nahi.
kai roj hue khat ka aaya nahi jabab;
kya wo mere mashware se rajamand nahi.
samjhe jo teri baat jahn-o-dil se "DHANANJAY"
ab her aadmi to itna aklmand nahi.





Hum Ko Shouk Hai Itna Fareb Khaane Ka,
Dekh Hi Nahi Sakte Asal Rukh Zamane Ka,
Dhushmano Ki Mehfil Mein Ashna Se Chehre Hain,
Haa Yehi Hai Khamyaza Dosti Badhane Ka,
Woh Jo Chehre Pe Likhi Dastan Na Padh Paaye,
Faaida Nahi Hai Unko Haal-E-Dil Sunane Ka,
Qadar Ashar Jis Mein Ek Bhi Nahi Nikla,
Kyun Lihaaz Hai Humko Zamane Ka.

No comments:

Post a Comment