Saturday, October 9, 2010

Zayaz

zindagi bhi kya zindagi hai
jiska koi yaar na ho

tab ek khali pustak hai
jisme kuch bhi likha na ho

duniya me saccha pyar nahi hai
aisa kabhi na samjha karo

kardi hai maine zindagi tere naam
chahe to aazmake dekliya karo

karunga kuch bhi tere khatir
pyar me khushi se jiya karo

dil me bus tum ho,dil ki dhadkan ho
dil me jo dhadakta hai,tum uski saanse ho

khuda na kare tu kabhi door ho jaye
saari zindagi mere adhuri ban jaye

ab tak maine bohot kuch saha
zindagi bhur akela rehna na chaha

ek pal bhi tujse door nahi rehna
doori ka dard mujhe nahi sehna

karle mera yakken,apnale mujhe
zindagi bhur sirf khushi dunga tujhe

pyar karta hoon main tumse ise khel mat samajhna
tum hi ho meri zindagi ye qual me rakhna

jis din tere shwaas rukh jayenge,
apne shwaas jod dunga

nata hai humara pyar ka
ye sabko dikhlaunga...................





Tum roth jao mujhsey,esa kabhi na ho
Mein ik nazar ko tarsoon,esa kabhi na ho

Mein pooch pooch haroon so saal tum sey
Tum kuch jawab na do ,esa kabhi na ho

Merey hi saath hansna merey hi saath rona
Mujh sey bichar key ji lo .esa kabhi na ho

Tum chand ban key rehna mein dekhta rahoon gaa
ek raat tum na ao .esa kabhi na ho

mein tum ko bhula doon yey merey bass mein nahi
tum mujh ko bhool jao.......esa kabhi na ho.







Ek aisa RishTa banna lu
Jisski zayaz seemaye khatmM na ho


Uss pyaar ki dhaara mai baha lu
Jisska kinara se milan kabhii na ho


Khulii ankhon se khwaab dikha du
Jo sansar kai Kshitiz par nazar aate ho


Woh chanD pal ka saath de du
Jahan Chaand zamii par aur tum aasma mai parwaz karte ho...
Haan bass tumse... ek aisa Rista banna lu.......





kon sunega kisko sunaye is liye chup rehta hain
ham se apne rooth na jaaye is liye chup rehta hain

meri soorat dekhne walo main bhi ik aayina tha
toota jab ye sheesha-e- dil saawan ka mahina tha

tukre dil ke kis ko dikhaye is liye chup rehta hain
ham se apne rooth na jaaye is liye chup rehta hain

aaj khushi ki is mehfil main apna jee bhar aaya hai
gam ki koi baat nahi hai hame khushi ne rulaya hai

aankh se aansoo beh na jaye is liye chup rehta hain
ham se apne rooth na jaye is liye chup rehta hain

pyaar ke phool chune the hamne khushi ki sej sajane ko
patjhar ban ker aayi bahaare ghar main aag lagane ko

aag main gam ki jal na jaaye is liye chup rehta hain
kon sune ga kis ko sunaye is liye chup rehta hain







Manzilo Ki Khoj Me Tum Ko Jo Chalna Sa Laga
Mujh Ko To Wo Zindagi Bhar Ghar Badalna Sa Laga

Dhoop Aayi To Hawa Ka Dum Nikal Ne Sa Laga
Aur Sooraj Bhi Hawa Ko Dekh Jalne Sa Laga

Jhoot Jabse Chandni Ban Bheed Ko Bharma Gaya
Sach Ka Sooraj Jhoot Ke Paon Pe Chalne sa Laga

Mere Khwabo Par Zameeni Sach Ki Bijli Jab Giri
Aasmani Barf Ka Bhi Dil Dahal Ne Sa Laga

Chand Katre Thande Kagaz Ke Badan Ko Tab Diye
Khoon Jab Apni Rago Me Kuch Ubal Ne Sa Laga.







kyaa kyaa naa jaane iShq meiN hotaa haii
haal aaShiqoN ka bahot buraa hotaa haii

maulaa mere !! yeh iShq bhee kyaa Khuub haii
haNs ke ko_ii kaisey fanaa hotaa hai

jab yaad "DHANANJAY" ko aati beeteN kal kii
kabhi iShq ,kabee Khud se Khafaa hotaa haii







No comments:

Post a Comment