Saturday, September 11, 2010

Badan

Rukti zindagi, thamti zindagi,
Kabhi baadh, kabhi tufaan me gum hoti zindagi,
Katrina, sunami ke naam hoti zindagi,
Oonchi imaraton se girti zindagi,
Khamosh zuban se har gum ko sahti zindagi..!
Dhoke ki aag me dha-dhakti zindagi,
Footpath par gadiyon tale masalti zindagi,
Pet ki aag bujane ko machalti zindagi..!
Bikharti zindagi, sisakti zindagi,
Sikko ki taan par thirakti zindagi,
Faisale ke intezar me, adalat ke baahar,
Mutthii me ret-si fisalti zindagi,
Aspatalon ki kataaron me pighalti zindagi,
Naam pe dava ke khud ko chalti zindagi..!
Maayus zindagi, niraash zindagi,
Amrut ki aad me zehar peti zindagi,
Maut se bhi battar haal me jeeti zindagi,
Maa ki palko se lahoo bankar behti zindagi,
Bachche ki tarasti nigahon me rehti zindagi,
Majboor badan pe kisi ke hathon ki sar-sarahat zindagi,
Bhukh aur pyaas se nikali hui karahat zindagi..!
Badnaam zindagi, bad-haal zindagi,
Khamoshi me bhari ek cheekh zindagi,
Madh-hosh zindagi, be-hosh zindagi,
La-jawaab kar gayi har sawaal zindagi….!!!






Har Subah Nikal Parti Hai Jo Khud Ki Talash Me,
Vo Khoyi Hui Si Ek Pahchan Hoon Main..!
Na Ankhon Me Khwab Hai Na Dil Me Tamanna Koi,
Apni Banayi Hui Rahon Se Hi Anjan Hoon Main..!
Kabhi zara Si Baat Par Ansu Baha Deta Tha,
Aaj Rah Me Para Lash Ki Tarah Bejan Hoon Main..!
Ankho Me Khwab Sanjone Ki Bhi Saza Hui Hai Mujhe,
Khilne Se Pehle Hi Jo Toot Jaye Aisa Ek Arman Hoon Main..!
Kis Kadar Fareb Karta Hai Samandar Ek Kashti Se,
Is Zindgi K Har Zulm Ki Nigehban Hoon Main..!
Jane Kitne Hi Arman Dafana Chuki Hoon Is Dil Me,
Ab To Lagta Hai Jaise Khud Hi Ek Kabrastan Hoon Main !!!

No comments:

Post a Comment