Thursday, August 12, 2010

Zindagi

Aisa nahi ke hum ko mohabbat nahi mili,
Jaisi chahte the hum ko woh ulfat nahi mili.

Milne ko zindagi mein kai humsafar mile,
Par unki tabiyat se tabiyat nahi mili.

Chehron mein doosron ke tumhein dhoondte rahe,
Kahin soorat nahi mili kahin seerat nahi mili.

Bahut derr se aaya tu mere pass kya kahun,
Alfaaz dhoondne ki bhi mohlat nahi mili.

Tujh ko gila raha ke tawazzo na di tujhe,
Lekin hamein khud apni mohabbat nahi mili.

Her shakhs zindagi mein badi der se mila,
Koi bhi cheez waqt-e-zaroorat nahi mili.

Tuesday, August 10, 2010

Qatra Qatra

Qatra Qatra Choo Rahi Hai In Labon Ko Zindagi
Lamha Lamha Dil Se Rukhsat Ho Rahi Hai Saans Bhi

Seekh Woh Hum Ne Liyaa Hai Jo Nahin Aata Tha Kal
Thi Nahin Hum Mein Magar Ab Aa Gayee Deewaangee

Roothey Roothey Jaise Mujh Se Hain Ujaale Aaj Bhi
Aaj Phailaata Hoon Daaman Phir Se Bhar De Roshni

Ab Nahin Lamhe Sukoon Ke, Ab Nahin Pal Ka Qaraar
Ab Nahin Woh Zindagi Jo Hum Se Milti Thi Kabhi

Dhoondne Niklaa Hoon Saamaan Kuch Mera Khoyaa Huaa
Jodne Baithaa Hoon Tooti Ek Imaarat Kaanch Ki

Boltaa Hoon Kuch Agar To Hai Badi Ruswaaiyaan
Mere Afsaane Mein Shaamil Hai Fasaane Aur Bhi

Bujh Gaye Saare Diye Jab Hum Ko Aaya Ek Khayaal
Soch Kar Kya Hum Ne Ki Thi Aandhiyon Se Dosti

Aa Nahin Saktaa Hai Woh Kuch Us Ki Hai Majbooriyaan
Jaa Nahin Paata Hoon Main Bhi Uski Jaanib Kyon Kabhi

Ek Zaraa "Dhananjay" Nazar Aati Hai Kuch Umeed Si
Dekhtaa Hoon Kar Ke Koshish Ek Dafaa, Ek Aakhri