Wednesday, July 21, 2010

Life

daayam pada hua tere dar par nahi hoon mein
Khaak aesi zindagi pe k pathar nahi hoon mein

kyun gardish-e-mudaam se ghabra na jaaye dil
insaan hoon, pyaala-o-saaghar nahi hoon mein

yaa Rab! zamana mujh ko mitaata hai kis liye
lauh-e-jahaan pe harf-e-mukarrar nahi hoon mein

had chaahiye sazaa me uqoobat ke vaaste
aakhir gunaahgaar hoon, kaafir nahi hoon mein

Ghalib wazifaa-Khwaar ho, do shaah ko dua
wo din gaye ki kahte the naukar nahi hoon mein



koi ummid bar nahi aati
koi suurat nazar nahi aati

maut ka ek din muayyan hai
neend kyun raat bhar nahi aati

aage aati thi haal-e-dil pe hansi
ab kisi baat par nahi aati

hai kuch aisi hi baat jo chup hoon
varna kya baat kar nahi aati

hum wahan hain jahaan se hum ko bhi
kuch hamaari khabar nahi aati

kaaba kis muunh se jaaoge Ghalib
sharm tumko magar nahi aati

No comments:

Post a Comment