Sunday, June 27, 2010

Dhoop

baat kam kiijiye, zahaanat ko chhupaate rahiye
ajnabi shahar hai yeh, dost banaate rahiye

dushmanii laakh sahii, khatm na kiijiye rishta
dil mile yaa na mile haath milaate rahiye

ye to chehre ka faqat aks hai tasviir nahiiN
is pe kuchh rang abhi aur chaDhaate rahiye

Gham hai aavaaraa akele meN bhaTak jaataa hai
jis jagah rahiye vahaaN milte milaate rahiye

jaane kab chaaNd bikhar jaaye ghane jangal meN
apne ghar ke dar-o-diivaar sajaate rahiye




safar mein dhoop to hogi jo chal sako to chalo
sabhi hain bheed mein tum bhi nikal sako to chalo

idhar udhar kai manzil hain chal sako to chalo
bane banaaye hain saaNche jo Dhal sako to chalo

kisi ke waasate raahen kahaaN badalati hain
tum apane aap ko Khud hi badal sako to chalo

yahaaN kisi ko koi raastaa nahi deta
mujhe giraake agar tum sambhal sako to chalo

yahi hai zindagi kuchh Khaak chand ummeeden
inhi khilono se tum bhi bahal sako to chalo

har ik safar ko hai mahafoos raaston ki talaash
hifaazaton ki rivaayat badal sako to chalo

kahi nahi koi sooraj dhuaaN dhuaaN hai fizaa
Khud apane aap se baahar nikal sako to chalo




No comments:

Post a Comment